WHATSAPP

Whatsapp Pe Bina Online Aaye Chatting Kaise Kare – Without Online Whatsapp Chat

Without online whatsapp chat kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, Agar aap whatsapp user hai aur whatsapp par bina online aaye chatting karna chahte hai to iss post me bataye gayi trick ka use jarur kare.

Agar aap apne friends ke sath whatsapp chat karenge to unhe pata chal jayega ki aap whatsapp par online hai lekin iss trick ka use karke aap apne kisi bhi friend ke sath chat karenge to usse pata nahi chal payega ki aap online hai ya nahi, aur usse hamesha aapka vahi last seen show hoga.

Whatsapp Pe Bina Online Aaye Chatting Kaise Kare – Without Online Whatsapp Chat

 

1 Sabse pehle aapko Playstore open kare aur Whatsapp Bubble Chat app install kare.

2 Install karne ke baad app open karke right ki swape kare aur last page me bottom right side me Okay option par click kare.

3 Ab next interface me Overlay permission aur Notification access dono permissions ko allow kare.

4 Sabse pehle Overlay permissions ke samne toggle button ko enable kare.

5 Toggle button par click karte hi ek popup open hoga to isme Allow option par click kare.

6 Ab aap phone ki settings me pahuch jayenge to yahapar Allow permission ke samne toggle button ko enable kar dijiye.

7 Iske baad back aana hai aur Nottification access ke samne toggle button par click karna hai.

8 Ab jo popup open hoga isme Allow option par click kare.

9 Iske baad aap phone ki notification access settings me pahuch jayenge to yahapar Whatsapp button chat ke samne toggle button ko enable kar dijiye.

10 Ab ek pupup open hoga to isme bhi aapko Allow option par click karna hai.

11 Iske baad back aaye aur bottom side Aero icon par click kar dijiye.

12 Ab jo next interface open hoga isme Start service ke samne toggle button ko on/off karke aap whatsbubble ko enable disable kar sakte hai.

Bus aapko yahapar itni hi settings karni hai iske baad jab bhi aapka friend aapko whatsapp par koi message bhejega to vo aapko whatsapp par bhi receive hoga.

Aur iske sath hi aapki screen par ek bubble bhi aa jayega jispar click karke aap whats bubble ko open kar sakte hai aur vaha par apne friend ki ka message dekh sakte hai aur vahi se iska reply bhi kar sakte hai.

Isse aapko apna whatsapp open nahi karna padega aur aap bina whatsapp open kiye bhi apne kisi bhi friend ke sath whatsapp chatting kar sakte hai. Aisa karne se aapka whatsapp online status kisi ko pata nahi chal payega.

I hope, without online whatsapp chat kaise karte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.