WHATSAPP

Whatsapp Corona Helpline Number Ka Use Kaise kare

Duniya bhar me corona virus (COVID 19) ke ka khatra mandra raha hai aur karodo log iss virus ki chapet me aaye hai. Aise me kai countries me lockdown chal raha hai aur india me iss samay lockdown ki vajah se logo ko apne gharo me hi rehna pad raha hai.

Issi baat ko dhyan me rakhte hue Whatsapp ne ek helpline number issue kiya hai jisme users corona virus ki jankari, usse bachao aur current update ki jankari le sakte hai.Aise me aap whats corona helpline  number ka use kar sakte hai iss post me mein aapko batane wala hu.

Whatsapp Corona Helpline Number Ka Use Kaise kare

Whatsapp jo new helpline number user ke liye issue kiya hai iska use karna bahut hi aasaan hai. Aap isse english ya hindi dono language me use kar sakte hai. Aap kaise iss number ka use kar sakte hai chaliye ab step by step jante hai.

1 Sabse pehle aapko 9013151515 numbr ko apne mobile me kisi name se save karna hai.

2 Iske baad apna Whatsapp open karna hai aur usme uss number ko search karna hai.

3 Ab aap iss number ki Chat open kare aur Hi ya hello kuch bhi likhkar send kare.

4 Send karte hi aapko iska reply aa jayega aur Govt of india corona virus ki taraf se. Aur isme kuch 7 questions honge iss virus se related. To aapko jiss question ka answer chahiye uss question ka number type karke send kar dijiye, aapko uska replya mil jayega.

5 Ab agar aapko hindi me iska use karna hai to yahapar aapko Hindi likhkar send kar dena hai. Jiske baar aapko hindi me jankari di jayegi.

To iss tarah se aap corona virus ki jankari apne whatsapp par le sakte hai sirf ek helpline number apne mobile me save karke.

I hope aapko Whatsapp (covid 19) corona virus helpline number se related ye jankari helful lagi hogi. Agar haa to isse apne friends ke sath bhi share kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.