ANDROID

Dusra Call Aata Hai to Pata Nahi Chalta Kya Kare

Dusra call aata hai to pata nahi chalta kya kare iss post me hum janenge so agar aapke android mobile phone me call par baat karte samay dusri call ka pata nahi chalta hai to iss problem ko kaise fix karte hai iski puri jankari aapko iss post me mil jayegi.

Android mobile phone me setting ek call management feature hota hai jiski help se users kisi phone conversation me engaged hote huye bhi another call pick up kar sakte hai, lekin iske liye aapke android mobile me call waiting feature enable hona chahiye.

Agar aapke android phone me call waiting feature on nahi hoga to kisi bhi call par baat karte time dusri call aane par uska pata nahi chalta hai, aise me agar aapke phone me call waiting feature disable hai to isse enable karne ke liye niche diye steps follow kare.

Dusra Call Aata Hai to Pata Nahi Chalta Kya Kare

1 Sabse pehle apni Phone app open kare

2 Iske baad top right corner me 3 dots par click kare.

3 Ab jo option aayenge inme Settings option par click kare.

4 Iske baad settings page me Calling accounts option par click kare.

5 Ab next interface me Advanced settings option par click kare.

6 Iske baad next interface me Additional settings option par click kare.

7 Ab jo next interface option hoga isme finally Call waiting feature ko enable kar dijiye.

Apne android smartphone ki settings me call waiting feature ko on karne baad jab bhi aap kisi call me busy honge aur uss time par koi dusri incoming call aayegi to uska pata aapko turant chal jayega, dusri call ka alert aapki mobile screen par aapko mil jayega.

Iss tarah se aap apne android mobile phone me call waiting setting ko enable kar sakte hai, aur kisi call me engage hone ke dauran dusri incoming call ka alert paa sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.