SOCIAL NETWORK

Telegram Par Aap Blocked Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare – How to Know if Someone Blocked You on Telegram

Telegram par aap blocked hai ya nahi kaise pata kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. So agar aap telegram user hai aur aapko lagta hai ki aapke kisi friend ne aapko block kar diya hai, to iss post me batayi gayi trick ko use karke aap iska confirm pata laga sakte hai.

Telegram par agar aapko koi block karta hai to aap uska profile picture nahi dekh sakte hai, messege send karenge to uspar single tick hi show hoga aur messege send nahi hoga. Aur aapko block karne wale user ka last seen status me hamesha “last seen a long time ago” hi show hoga.

Lekin aisa network problem ki vajah se bhi ho sakta hai aur ye bhi ho sakta hai ki uss telegram user ne apne account close kar diya ho. Lekin yahapar jo tarika me aapko batane wala hu usse aap sure ho jayenge ki usne aapko block kar diya hai. Telegram par aap blocked hai ya nahi iss baat ka confirm pata lagane ke liye niche diye gaye steps follow kare.

Telegram Par Aap Blocked Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare – How to Know if Someone Blocked You on Telegram

1 Sabse pehle apne telegram account ko open kare.

2 Ab top left side me 3 dots par click kare.

3 Iske baad kuch options open honge to yahapar New group open par click kare.

4 Ab aapki telegram contact list open hogi to yahapar uss contact ko select kare jispar aapko block karne ka doubt hai. Contact select karne ke baad bottom side me Aero icon par click kare.

5 Iske baad next interface me group name enter karne ka option aayega to yahapar apne according aap kuch bhi group ka name enter kare aur Right icon par click kare.

Right icon par click karte hi ek popup hoga jisme “Sorry you can’t create a group with these users because of their privacy settings” messege show hota hai to iska saaf saaf matlab hai ki uss user ne aapko block kar diya hai.

Agar aapko ye messege show nahi hota hai aur samne wala group me add ho jata hai to fir aapko blocked nahi hai, lekin above messege popup aapko show hota hai to ye confirm hai ki usne aapko block kar diya hai.

So iss tarah se aap easily check kar sakte hai telegram par aap blocked hai ya nahi, i hope aapko ye jankari helpful lagi hogi. Post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

 

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Telegram Par Aap Blocked Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare – How to Know if Someone Blocked You on Telegram

  • Aftab Shaikh

    Please is par post karo ke telegram hameshs ke liye message kabhi ban nahi hona..

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.