FACEBOOK

Facebook Messenger Par Aap Blocked Hai ya Nahi Kaise Pata Kare – How to Know Who Blocked You on Messenger

Facebook messenger par app blocked hai ya nahi kaise pata kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. So agar aapko aisa lagta hai ki aapke kisi friend ne aapko messenger par block kar diya hai, to aap iss trick ka use karke confirm check kar sakte hai ki aap blocked hai ya nahi.

Agar aapka koi friend aapko messenger par block kar deta hai to aise me aap usse messege nahi bhej payenge. Uska online status nahi dekh payenge aur agar aap uska name type karke usse search karenge to uske similar name wale users search me show honge. But aise network problems ki vajah se bhi ho sakta hai aur aisa bhi ho sakta hai ki usne apne account close kar diya ho.

Lekin iss post me jo trick mein aapko batane wala hu iski help se aap 100% confirm kar sakte hai ki samne wale aapko messenger par blocked hi kiya hai. Facebook messenger par aap blocked hai ya nahi iski puri jankari ke liye niche diye gaye easy steps ko follow kare.

Facebook Messenger Par Aap Blocked Hai ya Nahi Kaise Pata Kare – How to Know Who Blocked You on Messenger

1 Sabse pehle facebook messenger open kare.

2 Iske baad top right corner par Pencil icon par click kare.

3 Ab next interface me Create a new group option par click kare.

4 Ab aapki contact list open ho jayegi, isme uss friend ko select kare jispar block karne ka doubt hai aur sath hi ek aur contact ko select kare, kyuki single friend ke sath group create nahi hota hai.

5 Friends select karne ke baad top right corner par Next option par click kare.

6 Iske baad next interface me group name enter kare. Koi bhi name de sakte hai.

7 Group name enter karne ke baad top right side me Create option par click kare.

8 Ab ek popup open hoga jisme kuch iss tarah ka message aayega ” Your friend name can’t be added – Would you like to create the group without your friend name“. Messege me your friend name ki jagah par aapke friend ka name show hoga.

Agar aapko group create karne par iss tarah ka messege show hota hai to iska saaf matlab hai ki aapke uss friend ne aapko block kar diya hai. Iss tarah se confirm ho jayenge ki aap apne uss friends ke through blocked kiye ja chuke hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki Facebook messenger par app blocked hai ya nahi kaise pata karte hai. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.