SEO

SEO Friendly Article kaise likhe – How to Write SEO Friendly Article

How to Write SEO Friendly Article yani ki SEO Friendly Article kaise likhe iss post me hum janenge so agar aap apne blog me seo friendly blog post create karna chahte hai aur nahi janate ki search engine optimization wali blog post kaise likhte hai to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.

Search Engine Optimization (SEO) Kya Hai

Search engine optimization yani SEO alag alag search engines se website ya webpage par website traffic ki quality aur quantity ko improve karne ka ek process hai. SEO direct trafffic or paid traffic ki bajay unpaid traffic (Organic or Natural) ko target karta hai.

SEO ki 3 main categories hoti hai jinme pehla On page SEO hai, dusra Off-page SEO aur 3rd Technical SEO hai. SEO ki ye sabhi categories milkar search engines ko aapke content ko discover, index, crawl, understand aur rank karne me help karte hai.

Aasaan shabdo me kahe to SEO Relevant, High quality content create karke aur best possible user experience provide karke users ki search needs ko pura karta hai. Isme aapki website aur website contents ko unn keywords aur phrases ke liye search engine results pages (SERPs) me high rank karne ke liye optimize karna shamil hai jinhe aapke target audience search karti hai.

Ab aap samajh gaye honge ki Search engine (SEO) hai aur blog ya blog post ke liye kitna important hai, niche checklist di gayi hai iske according aapko apni seo friendly blog post create karni hai.

SEO Friendly Articles Checklist

  • Make your content useful & interesting
  • Choose the SEO friendly keywords
  • Add internal links between important pages
  • Craft your blog post for SEO
  • Optimize title & meta description tags
  • Optimize blog post
  • Use header tags
  • Make your website technically sound
  • Set up Google Search Console

 

SEO Friendly Article kaise likhe – How to Write SEO Friendly Article

Agar aap aboce checklist ko follow karte huye apna article create karenge to aapka article seo friendly banega aur alag alag search engines me aapki post top me rank karegi aur high quality traffic aapke article me aayega.

Make your content useful & interesting

Apne article me aapko hamesha engaging, useful aur informative content create karna hai kyuki google ka manana hai ki aapka content hi single aur sabse strongest ranking factor hai jiski vajah se aapki post me engagement badhti hai.

Isliye apni blog post me me aap jo bhi jankari dena chahte hai vo aapki audience ke liye useful hone ke sath sath kafi informative aur engaging bhi honi chahiye, agar aapki post me audience ke liye informative aur useful jankari hogi to post me engagement badhegi aur engagement badhne se google aapki post ko rank karega.

Choose the SEO friendly keywords

Internet par log kya search karte hai uske bare me research kare aur fir uske bare me apna content banaye, iske liye aap keywords research tools jaise ki Google keywords planner, Ahrefs, Semrush etc ka use kare.

Keywords research tools ke through aap apne main keyword aur other keywords ka insignts check kar sakte hai, search volume, competition aur related keywords ko bhi dekh sakte hai, fir aap seo friendly keywords choose karke apni post me add kar sakte hai.

Add internal links between important pages

Articles me internal links add karna kisi bhi website ke liye ranking factor saabit hote hai jo aapke webpages ko jyada baar crowl karne me search engines ko signal bhej sakte hai.

Aapki post ya important pages me internal links add hone se aapki view rank increase hoti hai aur aapki site par jitne bhi visitors aayenge vo aapki ek post se other post me bhi pahuch sakte hai, aapke other articles ko bhi padh sakte hain isliye apni har ek post me aapko internal links add jarur karne hai.

Craft your blog post for SEO

Apne blog articles ki search rank ko increase karne ke liye aapko apne topic se related keywords ko research karna hoga aur seo friendly keywords ko apne article me add karna hoga kul milakar aapko apni blog post ko Good SEO ke sath create karna hoga tabhi aapki apni post me high quality traffic milega iske liye aapko niche diye 5 steps ko follow karna chahiye.

  • Useful, informative aur engaging post likhe.
  • SEO friendly keywords find karke post me add kare.
  • Search intent ko check kare.
  • Winning format aur angle ko choose kare.
  • Data driven outline ke sath post taiyar kare.

Optimize title & meta description tags

SEO friendly article likhne ke liye aapka title aur meta description tags most important hota hai isliye aapki post ka title aur meta description tags concise, descriptive aur unique hona bahut jaruri hai. Jitna aap iss chieez par focus karenge aapki post ka search engine optimization utna hi better hoga aur search engines me top ranking me aapki post aayegi.

Optimize blog post

Apni blog post ko optimize karke aap alag alag search engines me top ranking me la sakte hai isliye apni blog post ko Quality search engine optimization ke liye niche di gayi tips ko follow jarur kare.

  • Bullet points list use kare.
  • Chhote senetences aur paragraphs ka use kare.
  • Jaha par jarurat pade GIFs aur images ka use kare.
  • Aasaan aur simple words use kare.

Use header tags

Apne article me header tags use kare agar aap apne har ek post me header tags ka use karenge to aapke content ko padhne aur samajhne me aapki audience ko kaafi aasani hogi. Header tags yani HTML tags post me headings aur subheadings ko define karte hai.

  • Post me kam se kam 1 main heading (H1) ka use kare.
  • Iske sath hi descriptive subheadings (H2-H6) bhi add kare.

Make your Site technically sound

Make sure ki aapki jo website hai vo technical taur par good ho technical sound ho aur easy to crawl ho taki search engines ko aapki site par important content ko index aur crawl karne me aasani ho paye.

Google Search Console Set up

Apni website ke liye google search console setup jarur kare kyuki ye ek free tool hai aur google search console me apni site submit karne ke baad aap apni website ki organic search performance ko easily track kar sakte hai.

Iske sath hi google search console me aapko apni site errors aur alag alag opportunities ko find karne me help milti hai aur apni site ka sitemap bhi aap submit kar sakte hai.

SEO Friendly Article kaise likhe i hope aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse ape friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.