FACEBOOK

Facebook Post Par Share Button Hide Kaise Kare – Remove Facebook Post Share Button

Facebook post par share button hide kaise kare aaj iss post me mein aapko batane wala hu. Mostly facebook users chahte hai ki unhone jo apni photo video facebook par share ki hai usse koi other user apni timeline par share na kar sake.

Isliye vo apni post par share button ko hide kar dena chahte hai. Vajah chahe jo bhi ho agar aap bhi apni facebook post par share button hide karna chahte hai to iss post mein aapko yahi batane wala hu. To chaliye shuru karte hai aur janate hai ki apni facebook post me share button remove kaise karte hai.

Facebook Post Par Share Button Hide Kaise Kare – Remove Facebook Post Share Button

Apni facebook post se share button hide karna bahu hi aasaan hai, bus aapko niche diye steps follow karne hai jiske baad aapko fb photo, video se share button delete ho jayega, to chaliye shuru karte hai.

1 Sabse pehle apne Facebook account me login kare.

2 Ab top right side me 3 lines par click kare.

3 Next interface me bottom side me scroll kare aur settings and privacy ke under Settings par click kare.

4 Settings page me thoda niche scroll kare aur privacy section me Timeline and tagging par click kare.

5 Ab jo next page open hoga isme timeline section me Allow others to share your posts to their story ke option par click kare.

6 Click karte hi aapke samne Yes or No options aayenge to yahapar aapko No option ke tick box ko select karna hai.

Iss setting ko finish karne ke baad ab jab bhi aap apni kisi bhi photo ya video ko facebook par upload karenge. To uspar share button show nahi hoga vo puri tarah se hide ho jayega. Lekin agar aap kisi other site ya video ka link share karte hai to ho sakta hai vahapar share button aa jaye.

I hope facebook post par share button hide kaise kare ab aap samajh gaye honge. To agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse social sites par apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.