FACEBOOK

Facebook Two Factor Authentication Code Enable Kaise Kare

Facebook two factor authentication code enable kaise kare aaj ki iss post me hum janenge. Agar aap apne facebook ki security ko lekar serious hai to apne facebook account par aapko two step verification code enable jarur karna chahiye.

Two step authentication code enable karke aap apne facebook account ki security ko aur bhi jyada strong bana sakte hai. Aur iske baad aapke facebook account ko hackers hack nahi kar payenge kyuki jabtak aap verification code enter nahi karenge facebook login nahi hoga.

Aur login code aapke mobile par aayega jisse koi other person aapke account ka user id aur password enter karne ke baad bhi aapke facebook ko open nahi kar sakta hai.

Facebook me two step verification code on karke aapka fb more safer aur more secure ho jayega. To chaliye shuru karte hai aur janate hai facebook par two factor authentication code enable kaise karte hai.

Facebook Two Factor Authentication Code Enable Kaise Kare

Facebook two factor authentication code enable karna bahu hi simple hai bus iske liye aapko apni facebook setting page me jakar niche diye steps ko follow karna hai.

1 Sabse pehle Facebook account open kare.

2 Top right side me 3 lines par click kare.

3 bottom side me scroll kare aur Settings and privacy par click kare.

4 Ab kuch option aayenge to isme Settings par click kare.

5 Next interface me security section ke niche Security and login option par click kare.

6 Ab yahapar Use Two factor authentication ke option par click kare.

7 Ab next page me 2 option aayenge text message and authentication app to yahapar aapko mobile pe code pana chahte hai to Text message ko select kare.

8 Next interface me aapka mobile number aayega aap isse change bhi kar sakte hai otherwise Confirm ke button par click kar dijiye.

9 Ab next page me aapse code enter karne ko kaha jayega aur sath hi aapke number ko verify karne ke liye ek code bheja jayega. Aapko iss code ko box me enter karna hai aur Next ke button par clic kar dena hai.

Jaise hi aap code enter karenge aapke facebook account par two step authentication code enable ho jayega. Ab jab bhi aap apne facebook account me login karenge aapse ek code enter karne ke liye kaha jayega jo ki aapke mobile number par text kiya jayega.

To iss tarah se aap facebook two factor authentication code enable karke apne facebook account ko pehle se bhi jyada more secure aur more safer bana sakte hai.

I hope aapko facebook me two step verification code kaise enable karte hai ye jankari helpful lagi hogi. Agar post acchi lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.