X
    Categories: INTERNET

Online Free Logo Kaise Banaye Hindi Me Puri Jankari

Hello friends, aaj ki iss post me mein aapko bataunga ki online free logo kaise banate hai. Logo kisi bhi company, website or business ke liye ek symbol ka kaam karta hai. Jisse uss perticular compnay or website ki pehchan banti hai. Logo kisi bhi website, youtube channels aur kisi business ke liye bahut jaruri hota hai.

Kisi bhi popular brand ke liye logo ek symbole ka kaam karta hai. Agar aap kisi website or youtube channel ke owner hai ya koi shop ya other business karte hai to aapko bhi apna logo create kar lena chahiye. Logo design karne ke liye aapko kafi paisa kharch karna pad sakta hai. Lekin agar aap online free logo banana chahte hai to niche diye steps ko follow kare.

Online Free Logo Kaise Banaye Hindi Me Puri Jankari / Create Logo Online

Internet par free logo create karne ke liye bahut saari sites available hai. Jaise thefreelogomakers.com, flamingtext.com or onlinelogomaker.com etc. Aur inme se onlinelogomaker.com se free logo design karne ke bare me bataunga. Online logo maker se aap easily koi bhi logo create kar sakte ho. To chaliye ab niche diye steps ki help se janate hai ki online free logo design aur download kaise karte hai.

 

Step 1

Sabse pehle onlinelogomaker.com/register ke iss link me jaye aur sign up kare.

  1. Register par click kare.
  2. Apna name, email aur password enter kare.
  3. Sign up button par click kar dijiye.

 

 

Step 2

Ab aap dekh sakte hai aapka online logo maker me account create ho chuka hai. Yahapar aap free logo design karne liye create new log ke par click kare.

 

 

 

Step 3

Ab next page me logo generator open hoga yahapar aap free logo design kar sakte ho. Forexample company logo design, website logo or youtube channel logo design etc. Logo design karne ke liye niche steps follow kare.

  1. Box me aap jis name se logo banana chahte hai vo text enter kare.
  2. Yaha se size ghata aur badha sakte ho.
  3. Font style change karne ke liye yaha click kare. Aur list se jis font me logo name set karna hai usse select kare.
  4. Text color change karne ke liye yaha click kare.
  5. Text ko bold aur italic font me kar sakte ho.
  6. Yaha se bhi size decrease aur increase kar sakte ho.
  7. Style ko forward aur backward kar sakte ho.
  8. Jo aapne name enter kiya hai iska duplicate copy create kar sakte hai.
  9. Logo me other text bhi add karna chahte hai to add text par click kare.
  10. Delete button par click karke delete kar sakte hai.

 

 

Step 4

Logo name ki setting karne ke baad ab logo ka symbol sett karna hai. Iske bina complete logo design nahi ho sakta hai. Yahapar jo image pehle se hai aap usse change kar sakte ho. Aur apni logo category ke according symbol select kar sakte ho.

  1. Logo ke liye symbol choose karne ke liye add symbol par click kare. Yahapar aapko alag alag categories show hogi, aap jiss category se related logo design karna chahte hai usse select kare. Aur list me se apna symbole select kare.
  2. Logo symbol select karne ke baad yaha se apne according color kar sakte ho. For example iss symbol me 3 color hai red, grey aur white. Aap jiska color change karna chahte ho uspar click karke change kar sakte ho.
  3. Logo text ki tarah hi aap logo symbole ko bhi aap apne according ghata aur badha sakte ho.
  4. Yaha se symbole ko transparent kar sakte hai.
  5. Logo taiyar hone ke baad aap apne registered accound me isse save kar sakte ho.
  6. Logo download karne ke liye download button par click kare.

 

 

Step 5

Download par click karte hi ek popup open hoga isme download your logo par click kare.

 

 

Step 6

Ab next page me aap left side me apna logo design dekh sakte ho. Iske sath hi premium pack aur basic back ke option bhi dekh sakte hai. Free logo download karne ke liye basic pack ke niche download free button par click kare. Isme kuch features kam honge.

Download free button par click karte hi aapka online free logo download hona start ho jayega. Aur kuch hi der me ye completely download ho jayega. Issi tarah aap koi bhi logo design kar sakte ho apni website, business, organization or youtube channel etc ke liye. Aur online logo design kar sakte ho free logo creator se upar diye easy steps ke according.

 

I hope, aapko online free logo design se related ye post acchi lagi hogi. Agar aapka free logo design se related koi bhi saval hai to comment karke puch sakte ho. Aur agar ye post helpful lagi ho to isse social networking sites par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (2)