X
    Categories: WORDPRESS

WordPress Blog Par Logo Upload Kaise Kare

WordPress blog par logo upload kaise karte hai aaj iss post me mein aapko batane wala hu. Blog banane ke baad blog design karna bahut jaruri hota hai. Blog ko professional look dene aur design karne me kafi kuch setting karni padti hai. Inn settings me se ek logo upload karna bhi hai. Header logo image add karna kisi bhi blog ke liye bahut hi important hai. Visitors aapki site par aane ke baad sabse pehle aapki site ke logo ko dekhta hai. Isliye wordpress par blog banane ya wordpress par migrate hone ke baad logo upload jarur kare.

Header logo aapki site ki brand image ko define karne me kafi help karta hai. Logo hi aapki site ke liye identity ka kaam karta hai aur visitors aasaani se site ko yaad kar sakte hai. Blog me logo upload karne ke liye sabse pehle aapko logo create karna padega. Internet par bahut si aisi logo making websites hai jaha se aap logo generate kar download kar sakte ho. Inn sites me kuch paid hai aur kuch free.

Agar aap new blogger hai aur logo design karne ke liye invest nahi kar sakte hai to aap online logo maker se free logo download kar sakte hai. Aur agar aapko photoshop ki knowledge hai to photoshop se bhi aap logo create kar apne blog par upload kar sakte ho. Iske alawa bhi aap other logo editor software se bhi logo design kar sakte hai. Agar aap apne blog ko professional look dena hai to jaldi se logo create kar lijiye aur apne wordpress blog par upload kar lijiye. To chaliye start karte hai aur janate hai ki wordpress blog par logo upload kaise karte hai.

 

WordPress Blog Par Logo Upload Kaise Kare

 

Step 1

Sabse pehle apne wordpress blog ke dashboard me jaye.

  1. Appearance me jaye.
  2. Customize par click kare.

 

Step 2

Next page me aap apne wordpress blog ke custimize section me pahuch jaoge. Yahapar thoda sa scroll down kare aur header option par click kare.

 

 

 

 

Step 3

Agli window me header options page open hoga, isme header logo par click kare.

 

 

 

 

Step 4

Ab agle page me aapko header ko kis tarah se show karna hai iske option milenge. For example only header logo show karna hai, only header text dikhana hai. Ya phir header log aur text dono ko show karna chahte hai etc. Inme se koi ek option select kare.

 

  1. Header ke liye option select kare, yahapar mein aapko header logo only suggest karunga.
  2. Logo upload karne ke liye pencil ke icon par click kare.

 

 

Step 5

Agli window me aapko logo upload karne ka option milega, yahapar select logo button par click kare.

 

 

Step 6

Ab ek popup window open hogi, isme aapko header logo upload karna hai. Apne computer gallery me jahapar bhi aapne header logo save kiya hai usse select kare.

  1. Header logo ka complete size select kare.
  2. Crop image button par click kare.

 

 

Step 7

Crop image button par click karte hi aapke blog par header logo upload ho jayega. Header logo upload hone ke baad finally save & publish button par click kar dijiye.

 

 

Lijiye aapke wordpress blog par logo upload ho gaya hai. Iska preview aapko right side me show ho jayega. Ab apne blog me jakar header logo ko check kar sakte hai.

 

WordPress blog par logo upload kaise karte hai ab aap samajh gaye honge. Aasha karta hu ki aapko ye jaankari pasand aayi hogi. Phir bhi aapka header logo upload karne se related koi saval ho to comment karke jarur puche. Aur agar ye post aapko helpful lage to isse apne friends ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (2)