How to Do On Page SEO yani ki On Page SEO Kaise Kare iss post me hum janenge so agar aap ek blogger hai aur blogging me sucess hona chahte hai, apni blog par quality traffic pana chahte hai to aapko SEO friendly articles likhne honge, apne articles me search engine optimization karna hoga.
Google search engine ho ya koi other search engines ho 3 tariko ke base par har ek website ko rank karta hai, ye teeno methods hai On page SEO, Off page SEO aur Technical SEO, inme se jo pehla method hai On page SEO issi ke bare me iss article me hum baat karenge.
On Page SEO Kaise Kare – How to Do On Page SEO
Jo bhi seo technique hum apne article ya webpage me use karte hai usse On page SEO kehte hai, Other SEO techniques ke sath on page SEO bhi ek SEO technique hai jiska use web pages aur websites ko search engines ke liye optimize karne ke liye kiya jata hai.
Aapke website ke har page ya webpages me kya hai kis bare me hai isse all search engines aur users ke liye samajhne me jitna aasaan ho sake utna easy to understand banana on page SEO ka main goal hota hai.
HTML tag optimizing aur internal linking jaise aapki website ke elements jo aapke control me hote hai un elementes ko on page SEO aapki website ko optimize karne ke liye refer karta hai.
Alag alag search engines me kisi query ya queries ke relavant web pages ko identify karke search results pages me rank karna top rank me lana ye on page seo ka hi kaam hota hai to agar aapne apne articles me on page seo sahi se kiya hota to aapki post search ranking high hone ke chances badh jayenge. Niche kuch tips di gayi hai jinka use aapko apni posts me on page seo karne ke liye karna hai.
Quality Content
On-page seo ke liye sabse pehla factor quality content hai jo aapki audience ke liye useful aur informative ho iske sath hi aapko high quality keywords bhi apni post me use karne jo aapke content se related ho.
Keyword Research
Hamesha aise keywords choose kare jo aapki targeted audience ke liye most important hone ke sath aapke page ke liye bhi useful ho.
Appropriate Title Tags
Apni har blog post (page) me main keywords se related appropriate title tags add kare.
Appropriate Meta Descriptions
Apne har page me meta description ka use kare aur meta description me main keywords jarur add kare.
Data and Schema Markup
Schema markup ka use kare apni har ek post ke content ko sahi tarike se present karne ke liye.
Use Heading Tags
Apni blog post ki layout sahi tarike se optimize karne ke liye headings ka use kare. Headings tags yani H1, H2, H3 etc ka sahi tarike se use kare.
Optimize URL Structure
Page URL me main keywords add kare aur URL ko short banane ki koshish kare.
Engaging Images और Videos
Page me featured image aur other attractive images add kare, agar related video hai to vo bhi add kare.
Internal Linking
Apni post me other posts ke link add kare, internal linking se aapka traffic increase hoga aur on page seo ke liye bhi ye bahut jaruri hai.
Page Speed
Page loading time ko reduce kare iske liye jo bhi images page me add karte hai unhe compress jarir kare. Internet par aapko asi bahut si sites aapko mil jayenge jinke through aap post image ko online compress kar sakte hai.
Social Media Share Buttons
Apni website me social share buttons add kare isse aapke har ek webpage ko visitors ke through share kiya ja sakega.
Sitemap: XML sitemap
Apni website ke liye XML sitemap create karke search engines me submit jarur kare.
Mobile Optimization
Apne blog ki har ek post ko mobile devices ke liye customize kare yani ki apne blog me mobile friendly template ka use kare. Aajkal log computer ya laptop se jyada mobile ka use karte hahi, mobile me articles padhte hai.
Website Security
Apni website ki security ko ensure jarur kare jisse ki hackers attack na kar sakte aur user data bhi secure rahe.
User Experience
Har ek blog post me quality content share kare jisse ki aapki audience impress ho sake aur dubara se aapki website me visit karne ya aapke next content ko read karne ke bare me soch sake.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki apne blog me on page seo kaise kare, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.