How to block internet access to any mobile app yani ki kisi bhi app ka internet kaise band kare iss post me hum janenge, so agar aap apne mobile phone ki kisi app ka net block karna chahte hai aur nahi janate ki apps ka data disable kaise karte hai to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.
Phone me jyada use nahi hone wali sabhi apps ka data disable karke aap apna mb data save kar sakte hai, jinn app me aap jyada online nahi rehte hai unka data turn off karke mobile data ko unnecessary consume hone se save kar sakte hai, app ka net blok karne ke liye niche diye steps follow kare.
Kisi Bhi App Ka Internet Kaise Band Kare
1 Sabse pehle apne phone ki Settings open kare.
2 Iske baad settings page me Digital wellbeing & parental controls option par click kare.
3 Ab next interface me ways to disconnect section me Focus mode option par click kare.
- Iske baad aapke phone ki sabhi apps aapke samne aa jayengi.
- Inme se kisi bhi app ko select karke aap uska internet access block kar sakte hai.
- Jiss app ka internet disable karna hai usse select kare.
4 Iske baad top side me Turn on now option par click kar dijiye.
Iske baad aapke phone me focus mode enable ho jayega aur aapki selected apps ka internet disable ho jayega, iss tarah se aap apne phone ki kisi bhi app ke liye internet access ko block kar sakte hai.
Agar aapko focus mode se break lena ho, kuch der ke liye kisi distracting app ka internet turn on karna ho to iske liye aapko focus mode wali app par click karna hai aur fir use app for 5 minutes option par click kar dena hai.
Iss tarah se aap focus mode se kuch der ke liye break bhi le sakte hai aur distracting apps me fir se data connection enable kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki android mobile ki app ka net kaise band karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.