Advance Excel Me Insert Tab Ki Puri Jaankari Hindi Me
Microsoft excel application me insert tab ki puri jaankari iss post me mein aapko batane ja raha hu. Agar aap excel me insert tab ke bare me nahi janate hai to iss post ko dhyan se padhe. Yahapar mein aapko insert tab ke alag alag sub tabs ke bare me bata raha hu. Agar aap excel me work karte hai to insert option ke bare me aap acchi tarah se janate hi honge. Insert tab ki help se hum table or pivot table create kar sakte hai. Pictures, clip art, alag alag shapes, aur symbol, object, word art, text box insert kar sakte hai.
Insert tab me hyperlink option ki help se koi bhi web page. New document aur email address ko excel worksheet me link kar sakte hai. Aur chart section me alag alag tarah ke chart design ko create kar insert kar sakte hai. Microsoft excel me insert tab me five sub tabs or groups (tables, illustrations, charts, links aur text) hote hai. Aur ms excel me inn sabhi options ka use kaise karte hai aaiye janate hai.
Advance Excel Me Insert Tab Ki Puri Jaankari
Tables
Iss option ka use recommended table or pivot table create karne ke liye hota hai.
Table option ka use table create karne ke liye hota hai. Jisme hum related data ko manage aur analyze kar sakte hai. Excel recommendation ke according aap koi bhi table insert kar sakte hai. Aur apni headings ke according table ko manage kar sakte hai.
Pivot Table ka use pivot table insert karne ke liye kiya jata hai. Pivot table help se hum complicated data ko easy bana sakte hai. Aur iss table se data ko easily arrange aur summarize kar kar sakte hai.
Illustrations
Iss tab me picture, clip art, shapes aur smart art options available hai. Hum illustrations group ki help se kya kya kar sakte hai aaiye janate hai.
Picture option se microsoft excel worksheet me koi bhi picture or photo ko easily insert kar sakte hai. Excel worksheet me image insert karne ke liye picture option par click kare. Aur apne pc se path select kar uss picture ko select kare jisse excel worksheet me insert karna chahte hai. Iss tarah aap apne computer se koi bhi picture apni excel worksheet me easily insert kar sakte hai.
Clip Art ki help se aap movies, movie clip, sound, ya stock photography aur drawing insert kar sakte hai. Clip art insert karne ke liye iss option par click kare. Aur right side bar me my collections, office collections aur web collections se file select kare.
Shapes option me ready made shapes available hai. Iss option par click karte hi aapke samne shapes ki puri list open ho jayegi. Jisme alag alag shapes jaise lines, rectangles, basic shapes, block arrows, equation shapes, flowchart, star & banners aur callouts available hai. Inme se kisi bhi shape ko excel worksheet me insert karne ke liye uss shape par click kare. Aur worksheet me mouse se draw kare.
Smart Art ki help se aap graphical list, process diagrams insert kar sakte hai. Aur apni table ke according alag alag style me diagrams choose kar sakte hai. Isme aapko alag alag style jaise list, process, cycle, hierarchy, relationship, matrix aur pyramix show honge.
Charts
Microsoft excel me insert chart ka use kaise kare ye to mein aapko pehle hi bata chuka hu. Different type ke charts insert karne ke liye chart option bahut hi useful hai. Iss option ki help se aap column, line, pie, bar, area, scatter aur other charts insert kar sakte ho.
Column chart insert karne ke liye iss option ka use hota hai. Alag alag category ke according value ko compare karne ke liye aap column chart create kar sakte hai. Agar aapki excel worksheet me table data available hai to F11 press kar column chart insert kar sakte hai. Isse ek alag sheet me column chart create ho jayega.
Line option se trends over time line graph sho hota hai. Aur kisi bhi value ya time me utar chadhav ko check kar sakte hai. Ye ek line me up and down status ko show karta hai.
Pie chart insert karne ke liye iss option ka use hota hai. Pie chart me aap total value me sabhi ka kitna part hai ye round chart me check kar sakte ho. Round circle me badi value ka part bada aur different color me hoga. Issi tarah se value ke according sabhi value chhote ya bade shape me show hogi.
Bar chart multiples values ko compare karne ke liye best hai. Jisme alag alag value ke according different bars me chart show hoga.
Area chart alag alag value ke according differences ke alag alag set show karta hai.
Scatter ko x-y chart bhi kehte hai. Aur iss chart se aap alag alag value ke pairs ko compare kar sakte hai.
Other Charts me all chart types ke alawa stock, surface, doughnut, bubble aur raddar ko insert kar sakte hai.
Hyperlink
Hyperlink tool ka use karke aap microsoft excel me koi bhi file, web link, email ko easily link kar sakte hai. Pichli post me hum jaan hi gaye hai ki micsosoft excel me hyperlink ka use kaise karte hai.
Text
Iss option ka use textbox, header and footer, word art, signature, object aur symbol insert karne ke liye karte hai.
Text Box tool ka use text box insert karne ke liye kiya jata hai. Jisse aap ms excel worksheet ke kisi bhi part me drag kar sakte hai. Aur Iss box me koi bhi text ya sentance add kar sakte hai. Iske sath hi text box ko horizontal aur verticle kisi bhi side me move kar sakte hai.
Header & Footer ki help se aap excel document me header aur footer add aur edit kar sakte hai. Header top me aur footer bottom side me show hoga.
Word Art tool se hum alag alag style ke word art ko microsoft excel worksheet me insert kar sakte hai. Iske liye word art option par click kare aur apna word style choose kar box me text enter kare.
Signature Line ki help se aap microsoft excel application me apne signature insert kar sakte hai.
Object option ki help se aap koi embed objects ko insert kar sakte hai. Aur koi sound, video clips aur other formats ki files ko insert kar sakte hai.
Symbole option ki help se hum koi bhi symbol ya special characters ko excel worksheet me insert kar sakte hai. Yahapar aapko har tarah ke symbol show honge jinko aap easily choose kar apni excel worksheet me kar sakte hai. Ya excel formula me symbol add kar sakte hai.
Dosto ye thi insert tab ki jaankari agar iss post se related koi sujhav hoto comment karke jarur bataye. Aur agar aapka excel me insert tab se related koi saval ho to comment kar puch sakte hai. Agar aapko ye jaankari helpful lage to isse apne friends ke sath share bhi jarur kare.