ADVANCE EXCEL

Data Advance Filter Ka Use Kaise Kare Microsoft Excel Me

Hello friends, aaj iss post me mein aapko bataunga ki microsoft excel me data advance filter ka use kaise karte hai. Microsoft excel me advance filter ka use karte ke liye excel worksheet me criteria set karna padta hai. Normal filter se jab vo kaam nahi ho pata jo aap chahte hai to advance filter se usse easily kar sakte hai.

Data advance filter regular filter ka hi advance version hai. Isse aap aur bhi jyada complex criteria ko filter kar sakte hai. Excel worksheet me aap apne data se unique records extract kar sakte hai. Regular filter se aap kisi perticular dataset ko filter kar sakte ho. Jabki data advance filter se aap other locations ke data set ko extract kar sakte hai.

Data Advance Filter Ka Use Advance Excel Me Kaise Kare

Apne data set ko extract karne ke liye aap advance filter ka use kai tariko se kar sakte hai. For example abhi humare pass ek table hai jisme kuch individual names hai. Aur name ke samne unki designations aur salary di gayi hai. Ab data advance filter ka ka use karne ke liye criteria set karna hai. To aap table ke right side me set kiya hua criteria dekh sakte hai. iss criteria ke according designation ki field me director set hai. Aur salary ki field me minimum salary rs. 5000 set hai .

Set criteria ke according hume unn names ko extract or filter karna hai jinki designation director hai. Aur salary rs. 5000 se above hai. Isse vo sabhi directors extract ho jayenge jinki salary 5000 rs se jyada hai. Ab aap samajh gaye honge ki humari list me kya hai aur humara criteria kya hai. To chaliye ab step by step janate hai ki advance filter ka use di gayi table aur criteria ke according kaise karte hai.

Step 1

Sabse pehle upar diye example ke according excel worksheet me ek table create kare. Aur criteria bhi set kar lijiye, for example niche image me dekhe.

data advance filter

  1. Name, designation aur salary ki ek table create kare.
  2. Yahapar apna criteria set kare, designation heading ke niche uss designation ko enter kare jisse aap filter karna chahte hai. Aur salary heading ke niche vo minimum salary enter kare jisse jyada ya kam ki salary ko filter karna hai. Iske liye value ke pehle more than > or less than < sign ko add kare.

 

Step 2

Ab iss criteria ko filter karne ke liye niche diye steps ko follow kare.

data advance filter

  1. Data tab par click kare.
  2. Advanced option par click kare.
  3. Filter ko excel worksheet ki another location me show karne ke liye copy to another location par tick kare.
  4. List range me click karke table ko select kar lijiye.
  5. Criteria range par click karke criteria select kare.
  6. Copy to par click kare aur excel worksheet ki kisi bhi cell me jaha aap filter extract karna chahte hai vaha click kare. Current excel sheet me kahi par bhi kisi bhi part me filter extract kar sakte hai.
  7. Finally Ok button par click kar dijiye.

 

Lijiye ab aap dekh sakte hai ki copy to ka use karte hue humne jahapar click kiya tha vahapar data filter ho gaya hai. Yani ki 5000 rs. se above salary wale sabhi directors extract ho gaye hai, niche imae dekhe.

data advance filter

Issi tarah se aap kisi bhi designation ko apne criteria ke according extract kar sakte hai. Iss example ki tarah aap apne other tables ko bhi data advance filter ka use karte hue extract kar sakte ho.

I hope ab aap samajh gaye honge ki advance excel me advance filter ka use kase karte hai. Fir bhi iss post se related aapka koi bhi saval ho to comment karke jarur puche. Aur agar aapko ye jaankari helpful lagi ho to isse apne dosto ke sath share bhi kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Data Advance Filter Ka Use Kaise Kare Microsoft Excel Me

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.