ADVANCE EXCEL

Microsoft Excel or Advanced Excel Home Tab Ki Puri Jankari

Agar Aap Soch Rahe Hai Ki Online Advanced Excel Kaise Sikhein To Yeh Post Aapke Kafi Kaam Aa Sakta Hai. Dosto Aapko Sabse Pehle Hum Excel Ki Top Mein Jo Tabs Hote Hai Vaha Se Shuruwat Karenge Aur Dhire Dhire Formulas Aur Shortcut Ke Bare Mein Jaankari Denge, to start karte hai advanced excel home tab detail ke bare me.

Advanced Excel MS Office Ka Ek Part hai, Jisse Spreadsheet worksheets Package Bhi Kaha Jata hai, Data Ko Row Aur Column Me Likhkar Uske Bad Usme Kisi Bhi Parkar Ki Calculation Kar Sakte Hai.

Jaise Ki Financial, Statistical Aur Mathematical Ityadi. Advanced Excel Me Data Analysis Kar Sakte Hai, Aur Isme Report Vagerah Bana Sakte hai. Iske Saath Data Ko Graph Ke Roop Mein Present Kar Sakte Hai.

Advance Excel Home Tab Detail

Dosto Advanced Excel Me 8 Main Tabs Hote Hai Jo Ki Neeche Diye Huye Hai, Aur Aaj Ki Post Me Hum Excel Home Tab Ko Describe Karenge.

advance excel home tab

Dosto Excel Home Tab Me 7 Sub Tabs Hote Hai Jo Ki Iss Tarah Se Hai.

1. Clipboard

advance excel

 

Paste

Shortcut:- Ctrl+V

Clipboard Mein Pehla Option Hai Paste Ka Isse Aap Kuch Bhi Copy Karke Paste Kar Sakte Hai. Ya Phir Uski Jagah Shortcut (Control+V) Ka Istemal Kar Sakte Hai. Iske Liye Pehle Kisi Text Par Cursor Rakhen Phir Control+C Dabayen Aur Phir Dusri Cell Me Jaha Aapko Pest Karna Hai Vaha Pe Cursor Rakhkar Control+V Kar De Iss Tarah Se Vo Text Jo Aapno Copy Kiya Hai Same to Same Dusri Cell Me Bhi Paste Ho Jayega.

 

Cut

Shortcut:- Ctrl+X
Option Cut Se Aap Koi Bhi Text Uski Jagah Se Hatakar Dusri Jagah Dal Sakte Hai. Yeh Option Text Ko Uski Cell Se Hatakar Dusri Cell Me Dalne Ke Istemal Mein Aata Hai. Kisi Bhi Cell Mein (Jo Text Appko Uski Jagah Se Hatakar Dusri Jagah Dalna Hai) Usse Select Karein Phir Control+X Karein Uske Baad Aapko Jiss Cell Mein Dalna Hai Select Karke Control+V Kar De, Isse Text Apni Cell Se Uth Kar Nayi Cell Mein Chala Jayega.

 

Copy

Shortcut:- Ctrl+C

Copy Bhi Kuch Hud Tak Cut Ki Tarah Hi Hota hai, Farak Sirf Itna Hota Hai Ki Isme Text Peste Kiye Cell Ke Alawa Vaha Par Bhi Rehta Hai Jaha Se Aap Usse Copy Karte Hai. Kisi Bhi Cell Mein Text Ko Select Karein Phir Control+C Karein Uske Baad Aapko Jiss Cell Mein Dalna Hai Select Karke Control+V Kar De, Isse Text Apni Cell Mein To Rahega Hi Sath Hi Nayi Cell Mein Bhi Chala Jayega.

 

Format Painter

Format Painter Se Aap Kisi Bhi Prakar Ka Table Banaiye Uss Table Ko Select Kijiye Aur Format Painter Per Click Karye To Uss Table Ka Format Paste Ho Jayega.

Example Ke Taur Pe Sub Tab Koi Bhi Table Banaiye Aur Uss Table Me Kuch Bhi Content Daliye, Iske Baad Table Select Kijiye, Format Painter Par Click Kirein Aur Niche Blank Cell Me Click Karenge To Table Ka Format Yani Ki Border Vaha Pe Paste Ho Jayengi.

 

2. Font

advabce excel home tab

Theme Font

Iss Option Mein Kai Prakar Ki Font Style Hoti Hai, Apne Text Ko Kisi Bhi Tarah Ki Font Style Dene Ke Liye Ye Istemal Hota Hai. Jaise Ki Apne Jo Matter Key Kiya Hai Uska Look Thoda Stylish Ho Ya Phir Appko Kisi Aur Tarah Ka Look Dena Ho Apne Text Ko To Bhi Aap Iska Prayog Kar Sakte hai.

Font Size

Selected Text Ke Font Ka Size Bada Aur Chhota Karne Ke Liye.

Select Text Bold

Shortcut:- Ctrl+B

Selected Text Ke Font Ko Thick Aur Dark Karta Hai.

For Expl:- Hinglish Help

 

Italisize Text

Shortcut:- Control+I

Selected Text Ko Italic Look (Tedha) Karne Ke Liye Iska Istemal Hota Hai.

For Expl:- Hinglish Help

 

Underline

Shortcut:- Control+U

Selected Text Ke Niche Line Karne Ke Liye. Jaise Ki Aapko Iss Text Mein Dikhega.

For Expl:- Hinglish Help

 

Border

Microsoft Excel Ki Cell Ke Border Banane Ke Liye Iska Istemal Hota Hai Aur simple Excel Sheet Me Table Banane Ke Liye Bhi Iss Option Ka Use Kar Sakte Hai. Isske Liye Char Panch Cell Select Karein Phir Phir Iss Option Mein Jakar Jiss Tahar Kar Aapko Border Chahiye Select Kar Sakte hai.

 

Increase/Decrease Font Size

Iss Option Ki Help Selected Text Ka Size Bada Aur Chhota Kar Sakte Hai.

Fill Color

Selected Field Mein Text Ke Piche Ki Background Mein Color Bhar Sakte Hein, Jo Color Bharna Ho Click Karke Select Kar Sakte Hai.

Font Color

Selected Text Ko Manchaha Color De Sakte Hai, Text Ko Select Karein Phir Option Mein Jakar Jo Color Karna Hai Uss Par Click Karein Text Color Change Ho Jayega.

 

3. Alignment

advance excel home tab

 

Top Alignment

Iske Dwara Text Ko Uppar Ki Side slide Kar Sakte Hai.

Middle Alignment

Iske Dwara Text Ko Beech Me Slide Kiya Ja Sakta Hai.

Bottom Alignment

Iske Dwara Text Ko Neeche Ki Or Slide Kiya Ja Sakta Hai.

Orientation

Iss Option Ke Dwara Aap Text Ko Left Right, Tedha Medha Jaisa Aap Chahe Vaisa Move Kar Sakte Hai.
Iske Liye Text Select Kare Phir Option Par Click Karke Jaisa Chahe Vaisa Move De Sakte Hai.

Increase/Decrease Indent

Shortcut Increase:- Control+Alt+Tab

Shortcut Decrease:- Control+Alt+Shift+Del.

Selected Text Ka Indent Yani Ki Cell Me Jo Text Ki Jagah Usse Change Kar Sakte Ho, Aage Aur Piche.

Wrap Text

Wrap Text Ki Madad Se Cell Mein Jo Text Hai Hai Uska View Change Kar Sakte Hai. Jaise Ki Agar Hame Poora Text Cell Ke Andar hi Dekhna Hai Ya Phir Lagatar Agli Cells Mein Bhi Dikhta Rahe Dono Hi View Hum Iss Option Ke Help Se Kar Sakte Hai. Iske Sath Hi Yeh Cell Ke Size Par Bhi Asar Dalta Hai.

Merge & Center

Merge & Center Ki Help Se Ek Text Ko Do & Do Se Jyada Cells Mein Kar Kar Sakte Hai, Aur Sath Hi Kai Sari Cell Ko Ek Cell Me Bhi Badal Sakte Hai. Iske Liye Jitne Cells Aapko Merge Karni Hai Unhe Select Kare Aur Phir Iss Option Par Click Karen Selected Cells Merge Hoke Ek Me Badal Jayegi Aur Sath Hi Sath Cell Mein Jo Text Hai Vo Center Yani Ki Cell Ke Beech Me Bhi Ho Jayega. Iska Use Heading Ityadi Mein Kiya Jata Hai.

 

4. Number

advance excel home tab

Number Format

Selected Number Ko Jiss Format Me Karna Hai Vo Aap Kar Sakte Hai, Jaise Ki “General, Number, Currency, Accouting, Short Date, Long Date, Time, Percentage, Fraction Aur Scientific” Inn Option Me Se Jo Bhi Select Karenge Numbers Ussi Font Me Aayega.

Accounting Number Format

Iss Option Se App Number Ke Sath Auto Currency Ka Use Kar Sakte Hai, Yani Ki App Number Key Karenge Aur Currency Ka Sign Apne App Laga Aayega Number Ke Sath Jo Bhi Currency Select Karenge.

Percent Style

Shortcut:- Control+Shift+%

Selected Numeric Mein Mein Percentage Sign “%” Lagane Ke Liye Use Hota Hai. Number Likhe Phir Option Mein Click Karen Naumber ke Aage % Lag Jayega.

Comma Style

Selected Numbers Mein Comma (,) Seperator Lagane Ke Use Me Aata Hai, Expl:- 1,000.

Increase/Decrease Decimal

Selected Numeric Mein Decimal Yani Ki Dot Ke Bad Ke Zero Kam Aur Badhane Ke Use Me Hota Hai.

Expl:-

Increase 10.000

Decrease 10

 

5. Styles

advance excel home tab

Conditional Formating

Iss Option Ka Use Jyadatar Table Ya List Aur Text Ko Alag Alag Condition Ke Hisab Se Highlight Karne Ke Liye Kiya Jata Hai.

advance excel home tab

Highlight Cell Rules

advance excel home tab

Greater Then

Selected Do Ya Do Se Jyada Cell Ke Numbers Me Se Sabse Bade Ko Highlight Karta Hai.

Less Then

Selected Do Ya Do Se Jyada Cell Ke Numbers Me Se Sabse Bade Ke Alawa Baki Sab Ko Highlight Karta Hai.

Between

Selected Do Ya Do Se Jyada Cell Ke Numbers Me Koi Bhi Range Dene Se Uss Range Me Jo Numbers Aate Hai Usko Highlight Karta Hai. Expl:- Cells Mein Numbers Hai, 2,3,5,6,30, Auro 40 Aur Appne Between Ki Range Mein 1-20 Dala Hai To 2,3,5,6 Number Select Ho Jayenge.

Equal To

Selected Do Ya Do Se Jyada Cell Ke Numbers Me Se “Format Cell That Are Equal To” Ki Field Me Number Dalne Par List Me Jisse Match Hota Hai Usse Highlight Karta hai.

Text That Contains

Same Number Aur Text Ko Select Karta Hai.

A Date Occuring

Selecte Date List Me Se Jo Beete Huye Kal Ki Date Hogi Usko Highlight Karta Hai.

Duplicate Value

Do Ya Do Jyada Same Text & Value Ko Highlight Karta Hai.

More Rules

Iss Option Ke Help Se Aap Aur Jyada Conditions Dal Sakte Hai

 

Top/Bottom Rules

advance excel home tab

Top 10 Items

Number list me se jo top sabse bade number honge unko mark karta hai, iske sath hi aap apne according top of number select kar sakte hai aur selection color bhi choose kar sakte hai.

Top 10 %

Number list me se jo top sabse badi percentage hogi usko mark karta hai, uppar ki tarah hi aap isko costomise kar sakte hai.

Bottom 10 Items

Number list me se jo top sabse chhote number honge unko mark karta hai, uppar ki tarah hi aap isko costomise kar sakte hai.

Bottom 10 %

Number list me se jo top sabse chhoti percentage hogi usko mark karta hai, uppar ki tarah hi aap isko costomise kar sakte hai.

Above Average

Maan lete hai ki aapne 1 se leke 5 tak number likhe unn sabka plus karke answer aata hai 15 aur phir 15 ko 5 se bhag karke average aati hai 3, ab aapki number list me jo 3 se bade num honge unko select karta hai. Yani ki average se uppar ki value ko.

Below Average

Yeh option same “Above average” ki tarah kam karta hai, farak sirf itna hota hai ki yeh average se chhotey numbers ko select karta hai.

More Rules

Iss option ke jariye aap apne according rules ko costomised kar sakte hai aur naye rules bana sakte hai.

 

Data Bars

Data bars ki help se hum number list me unki rank ke according color bar set kar sakte hai. Iske liye numbers ko select kijiye aur data bar pe click karke choose karke click karege to numbers ascending order me color bar lag jayenge.

advance excel home tab

 

Color Scales

Color scales ki help se bhi aap data bars ki tarah number rank ko color kar sakte hai. Isme bhi chotey numbers se bade numbers me color fill ho jata hai. Isme yeh numbers me color ko scale karta hai.

advance excel home tab

 

Icon Sets

Icon sets ki help se aap number list me alag alag icon set kar sakte hai, aur isse table banana me bhi kafi help milti hai. Iss option se numbers me ascending order me color hote hai aur jo icon aapne choose kiya hai uss icon ko set karke color fill karta hai.

advance excel home tab

 

More rules

Iss option ki help se aap apne according above rules set kar sakte hai.

 

New Rule

New rules ki help se aap apne according naye rules set kar sakte hai.

Clear Rules

Aapne jo rules numbers me lagaye hai, unn sabko remove karta hai.

Manage Rules

Sare rules ko apne according costomise kar sakte hai.

 

Format As Table

Excel home tab me Format as table ki help se hum table banakar ek accha look de sakte hai, table ki rows ko colorful banakar sahi dhang se pesh kar sakte hai. Iss option me aap apne according table format select karke ek table bana sakte hai.

Iske liye aapko ek table banani hogi phir table ko select karke format as table ki option par click karna hai phir table format choose karke apni pasand ki format par click karna hai, table tayar ho jayegi.

advance excel home tab

New Table Style

Excel home tab me iss tab ki help se aap apne according table format bana sakte hai, jaisa aapko banana hai. Iske sath hi aap column aur rows ko apne hisab se set karke table ka naya look de sakte hai.

New PivotTable Style

Excel home tab me iss option ki madad se pivot table ki format ko colorful banake ek accha look de sakte hai.

 

Cell Styles

advance excel home tab

Good, Bad & Neutral

Cell style ki help se aap table ki rows ko customized karke unpar color kar sakte hai, iske sath hi heading, sub heading ki color formatting bhi apne according bana sakte hai.

Color ka selection bhi apne hisab se kar sakte hai, isme kuch color hote hai jo ki good, bad aur neutral ko darshata hai vo bhi aap apne according set karke table me apply kar sakte hai. Comma, currency aur percent bhi aap add kar sakte hai.

New Cell Style

Excel home tab me iss option ki help se aap apni table ki heading, sub heading, format, color aur text ko apne hisab se look de kar present kar sakte hai.

Merge Styles

Merge styles ki madad se hum doosri workbook ki table format ko kisi alag workbook me dal sakte hai, aur ek sath merge bhi kar sakte hai.

 

6. Cells

advance excel home tab

Insert

14

 

Insert Cells

Excel home tab me Insert cells ki help hum table ke beech me ek ya ek se jyada cell ko aur dal sakte hai, jaisa ki neech image mein hai.

Insert Sheet Rows

Iss option ki help se hum table ke beech me ya phir simple excel sheet me kahi par bhi ek ya ek jyada poori line insert kar sakte hai. Neeche image mein dekhein.

Insert Sheet Columns

Data ke beech me column ko add karne ke liye iss option ka use hota hai. Simple excel sheet me kahi par bhi column insert karna ho to iska use hota hai. Iske liye shortcut hai, pehle column select kare phir control ke sath plus (+) ka sign dabaye image dekhein.

Insert Sheet

Jaise ki advanced excel ki workbook me pehle se 3 simple excel sheet hoti hai, iss option se hum jitni chahe utni spreadsheet worksheets add kar sakte hai niche image dekhe.

 

Delete
16

 

Delete Cells

Delete cells ki help hum table ke beech me ek ya ek se jyada cell ko aur hata sakte hai.

Delete Sheet Row

Iss option ki help se hum table ke beech me ya phir spreadsheet worksheets me kahi par bhi ek ya ek jyada puri line remove kar sakte hai.

Delete Sheet

Jaise ki advanced excel ki spreadsheet worksheets me pehle se 3 simple excel sheet hoti hai. Iss option se hum spreadsheet worksheets remove kar sakte hai. Ye sare option right click karke bhi kar sakte hai.

 

Format

18-copy

Cell Size

advance excel

Row Heights

Advance Excel me row ki uchai (hight) ko badhane ke liye iss option ka use hota hai, hum apne according row ki high ko adjust kar sakte hai.

AutoFit Row Heights

Iss option ke help se poori row ki hight text ke according set ho jati hai.

Column Width

Kisi bhi column ko bada karne ke liye aap iss option ka use kar sakte hai, jitney badhani ho utna box mein number badhaiye.

AutoFit Column Width

Text ke according apne aap column fit karne ke liye iss option ka use hota hai, ya phir do column ke beech mein double click karne par bhi auto fit ho jata hai.

Default Width

Default width ki help se hum Advanced excel ke saarey column ki length ko sam size de sakte hai, iske liye option par click karein phir koi bhi size ka number dene se saarey column same size me ho jayenge.

 

Visibility

advance excel

Hide & Unhide

Neeche diye gaye sarey option ka use aap right click ki help se bhi kar sakte hai.

Hide Rows

Kisi bhi row ko chhupane (hide) karne ke liye iss option ka use hota hai.

Hide Columns

Kisi bhi column ke chhupane (hide) karne ke liye iss option ka use hota hai.

Hide Sheet

Advanced excel me bottom side me jo sheets tab hote hai unko chhupane (hide) karne ke liye iss option ka use hota hai.

Unhide Rows

Hide rows ko Wapas dikhane (unhide) ke liye iss option ka use karte hai.

Unhide Columns

Hide column ko wapas dikhane (unhide) ke liye iss option ka use karte hai.

Unhide Sheet

Hide spreadsheet worksheets ko wapas dikhane (unhide) ke liye iss option ka use karte hai.

 

Organize Sheets

advance excel

Rename Sheet

Iss option ki help se hum advanced excel ki simple excel sheet ko apne according name de sakte hai, yeh right click se bhi kar sakte hai.

Move or Copy Sheet

Iss option ki help se hum spreadsheet worksheets ko aage piche move kar sakte hai, sath hi copy bhi kar sakte hai.

Tab Color

Advance Excel ki jo spreadsheet worksheets hoti hai jaise ki, sheet1, sheet2, sheet3, inko hum color kar sakte hai.

 

Protection

advance excel

Protect Sheet

Iss option par click karte hi ek box khulega usme hum password dal sakte hai koi bhi isse spreadsheet worksheets ko protect kar sakta hai, sath hi yeh simple excel sheet bina password ke nahi khulegi.

Lock Cell

Lock Cell se hum particular cell ko lock kar sakte hai.

Format Cells

Iss option par click karne se ek box khulega usse hum cells ko apne according customized kar sakte hai, jaise number, text, currency, format, alignment, wrap text, time, date, accounting, general etc.

 

7. Editing

advance excel home tab

 

Autosum

Shortcut:- Alt+(plus or equal to)

Yeh option advance excel ki cell me jo numbers hote hai unko sum karne ke use me aata hai, for example aap excel ki do teen cells me number key kijiye fir unn numbers ke niche blank cell me iss option par click karne se apne aap unka jodd (sum) aa jayega.

Fill

Down:- Cell me jo text hai usko neeche wali cell me paste karne ke liye. Shortcut Ctrl+D 

Right:- Cell me jo text hai usko right side paste karne ke liye use hota hai, shortcut Ctrl+R.

Up:- Cell me jo text hai usko upar side paste karne ke liye.

Left:- Cell me jo text hai usko left side paste karne ke liye use hota hai, shortcut cntrl+r.

Series

Series me 6 option hote hai, (1) Series In (2) Type (3) Trend (5) Step Value (6) Stop Value. Iss option me hum row aur column ke hisab se value ko stepwise set karke dal sakte hai.

Maan lo ki hame 1 se 10 tak count likhna hai hai vo bhi 2 ke antraal me to agar aap cell me ank likhte hai “1” aur (5) Step value main “2” aur (6) Stop Value me “10” to value kuch iss tarah hogi 1, 3, 5, 7, 9. Agar Aap (1) Series in, me row select karte hai to numbers row ke according honge.

Agar Column ko select karte hai to columnwise honge vertical. (2) Type, aap apne according set kar sakte hai. Linear, Growth, Date & Auto Fill. Agar aap date select karte hai to date unit highlight ho jayegi.

Iske according aap day, month, year aadi select kar sakte hai. (3) Trend, ka use “step & stop value” me jo numbers hai usko lock karne ke liye kiya jata hai.

 

Clear

advance excel

Clear All

Table me jo formatting ya phir boundaries hoti hai, text matter hota hai, color hota hai, font ya phir formulas hote hai, unn sabko hatane (clear) ke liye iska use hota hai.

Clear Formates

Table me jo boundary aur color hote hai unko hatane ke liye use hota hai, isme text aur formulas par koi farak nahi padta.

Clear Contents

Table me jo text hote hai accept formula, iss option se sirf vahi remove hote hai, baki formatting, colors apni jagah set rehte hai.

Clear Comments

Text ke sath agar hum koi comment add karte hai to iss option ke help se hum unn comments ko remove kar sakte hai, isse text par koi asar nahi hota hai.

 

Sort & Filter

advance excel

Short Smallest to Largest

Excel home tab me iss option ki help se hum microsoft excel ki cells me text ko short kar sakte hai vo bhi accending order me, Jaise numbers ko 0-9 aur Alfa ko A-Z.

Short Largest to Smallest

Iss option ki help se hum advance excel ki cells me text ko short kar sakte hai vo bhi Deccending order me, Jaise numbers ko 9-0 aur Alfa ko Z-A.

Custom Short

Custom short ki help se hum short aur accending, discending order ko customized kar sakte hai. Iske sath hi poori table me beech ya phir kisi bhi column me short ka use kar sakte hai.

Filter

Filter ki help se hum text list me filter laga kar data ko short kar sakte hai. Filter ki madad se hum jo content ko select karenge shirf vahi content show hota hai baki sab hide ho jata hai, filter par dubara click karne par filter hat jata hai. Iske bare me aapko agli post me detail se bataunga.

 

Find & Select

Find Shortcut:- Control+F

Find ki option par click karne se jo box khulta hai uspar jo find kar hai usko likhne phir enter key dabane se hum uss text tak pahuch jate hai.

Replace

Replace Shortcut:- Control+H

Replace pe click karne se jo box khulta hai, usme “find what” me jo text hai, usse “replace with” ki field ke text se replace kar sakte hai, for example aapko ram ko shyam me badalna hai to “find what” me ram likhiye aur “replace with” ki field me shyam likhiye text replace hoke shyam ho jayega.

 

Go To/Go to Special

Above option ki help se hum kisi bhi text formulas, format, currency etc mei sidhe pahuch sakte hai. Iske sath hi other option ko bhi find kar sakte hai jo normal find me nahi hote.

Formulas

Iss option ki help se hum microsoft excel workbook me jitney bhi formulas hai un sabko find kar sakte hai.

 

See Also

 

Dosto ye hai Microsoft Excel Home Tab Detail ki lagbhag complete jaankari, iske alawa jo bhi aapke doubt hai to aap mujhe comment ke through puch sakte hai, aur agar ye post acchi lagi ho to isse social media par share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

5 thoughts on “Microsoft Excel or Advanced Excel Home Tab Ki Puri Jankari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.