GOOGLE

Google Password Change Kaise Kare 2022 Me

Google password change kaise kare 2022 me iss post me hum janenge so agar aap google user hai aur apne google account ka password reset karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to iss post me bataye easy steps ko follow karke aap easily apne google account ka password badal sakte hai.

Sabhi google users ko security purpose se apne password ko har 3 se 4 mahino me change karte rehna chahiye lekin bahut se user change nahi karte kyuki unhe google password change karne ki koi khas jankari nahi hoti hai aise me agar aap bhi google account ka password badalna nahi jante to niche diye easy steps ko follow kare.

Google Password Change Kaise Kare 2022 Me

1 Sabhi pehle apne Google account me login kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab kuch options aayenge to inme Google account option par click kare.

4 Next interface me google account manage karne ki alag alag settings aapke samne aayengi to yahapar Personal info tab par click kare.

5 Iske baad personal info tab me Password option par click kare.

6 Ab jo next interface open hoga isme apna Old password enter karke Next button par click kare.

7 Iske baad next interface me new password set karne ka option aayega to yahapar.

  • New password ki field me apna naya password enter kare.
  • Confirm new password ki field me same password enter kare.

8 Iske baad finally Change password option par click kar dijiye.

Iss tarah se easily aap kabhi bhi apne google account ka password reset kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki google account ka password kaise change karte hai agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.