X

Google Adsense CTR (Click through Rate) Kaise Check Kare

Google adsense CTR (click through rate) kaise check kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aap nahi janate ki adsense me CTR kaise dekhte hai to iss post ko end tak padhe aur google adsense CTR check karne ka tarika jane.

Agar CTR 15% se jyada ho jata hai to aise me aapka google adsense account problem me aa sakta hai. Aur ho sakta hai ki aapka adsense accound temporarily disable bhi ho jaye. Isliye adsense CTR ko time to time aapko check bhi karte rehna chahiye.

Agar aapke Adsense account ka click through rate 15% se jyada ho jata hai to aise me aap apne account ko khud hi kuch time ke liye disable kar sakte hai. Aisa karne se agar koi invalid clicks aapke adsense ads par ho rahi hogi vo stop ho jayegi aur aapka adsense CTR bhi level me aa jayega.

Google Adsense CTR (Click through Rate) Kaise Check Kare

Adsense click through rate (CTR) check karna bahut hi simple hai agar aap nahi janate to niche iske simple steps me aap bata raha hu jinko follow karke aap easily apne adsense account ka CTR dekh sakte hai.

Step 1

Sabse pehle apne Google Adsense account me login kare aur left side menu me Report ke option par click kare.

Step 2

Ab jo next page open hoga isme aapko filter ka option show hoga to yahapar niche steps follow kare.

  1. Add box me click kare.
  2. Products ke option par click kare.

Step 3

Iske baad dropdown menu me kuch option aayenge to yahapar aapko apne earning plateform ko select karna hai. Yahapar website, admob aur youtube platform ko select karne ke option aayenge.

  1. Agar youtube channel hai to Youtube host Select kare.
  2. Apply button par click kare.

Step 4

Apply par click karte hi aapke youtube channel ka analytics open ho jayega yahapar aap apni youtube earnings check kar sakte hai.

  1. Clicks tab par click kare.
  2. Yahapar aapko apne adsense account ka CTR show ho jayega.

To iss tarah se aap apne google adsense account ka CTR easily pata kar sakte hai jaise ki aap yahapar dekh sakte hai isme joRMS Live Learning youtube channel ka CTR hai vo lagbhag thik thak hai.

I hope google adsense CTR (click through rate) kaise check kare ab aap samajh gaye honge. Agar aapka koi saval ya sujhav hai to comment box me puch sakte hai. Aur agar aapko ye post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (3)