X

How to Check YouTube Earnings in Google AdSense | Check Adsense Revenue

How to check youtube earnings in google adsense yani ki google adsense par aap kaise apne youtube channel ki total income check kar sakte hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aap nahi janate ki adsense account me youtube ki earning ko kaise dekhte hai to iss post me bate gaye easy steps ko follow kare.

Online earning or online make money ke liye youtube ek best way hai aur lakho log iss platform par accha khasa paisa kama rahe hai. Aise me bahut se newbies bhi iss platform par apni kismat aajmate hai aur agar ek bar youtube channel ke though unka adsense account approved ho jata hai to unki bhi earnings start ho jati hai.

Youtube par total kitni earning hui hai kis video se kitna paisa aa raha hai ye sabhi detail aap youtube analytics section me dekh sakte hai. But agar aapko exact earnings ka pata karna hai to iske liye adsense account me check karna hoga. Aur agar aap nahi janate ki youtube ki earning ko google adsense par kaise check karte hai to niche diye steps ko follow karke aap adsense revenue ka pata kar sakte hai.

How to Check YouTube Earnings in Google AdSense | Check Adsense Revenue

 

Step 1

Sabse pehle apne google adsense account me login kare aur left side menu me Report ke option par click kare.

 

Step 2

Ab jo next page open hoga isme aapke samne filter option aayga.

  1. Add box me click kare.
  2. Products ke option par click kare.

Step 3

Ab aapke samne kuch aur option aayenge to yahapar aapko youtube ko select karna hai.

  1. YouTube Host ke option ko select kare.
  2. Apply button par click kare.

Step 4

Apply button par click karte hi aapke samne iss tarah se adsense revenue yani ki youtube earnings ka analytics open ho jayega.

Yahapar aap date wise, weekly or monthly adsense earnings check kar sakte hai aur pata kar sakte hai ki aapke youtube channel ke through aapka kitna adsense revenue generate ho raha hai.

How to check Youtube earnings in google adsense i hope ab aap samajh hi gaye honge. Agar post helpful lagi ho to isse jyada se jyada social sites par share kare. Aur agar aapka iss post se related koi saval hai to comment box me puch sakte hai.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More