Facebook me jab aap kisi friend ko posts, photos aur videos ko tag karte hai to uski profile me aapka ek link create ho jata hai, aur jo post aapne tag kiya hai vo uss friends ki timeline par show hone lagti hai, aisa karne se tagged person ke sath sath uske dosto ko bhi post show hone lagti hai, isse facebook timeline tag kehte hai.
Kabhi kabhi kuch facebook users galat videos ya photos ko aapki timeline par tag kar dete hai, aur vo post aapke sath sath aapke audience ko bhi show hoti hai jiske karan kafi dikkat aati hai aur aapki image bhi kharab hoti hai. Timeline tags ko disable karne ke liye facebook me ek option diya gaya hai, aaj hum issi ke baare me jaanenge.
Facebook Timeline Tag Ko Disable Kaise Kare
Facebook me timeline tagging ko control karne ke liye ek option diya gaya hai, jisse hum unwanted tags ko disable kar sakte hai. To chaliye dosto timeline tags ko kaise remove karte hai, step by step jaante hai.
Step 1
Sabse pehle facebook par login kare.
Step 2
Ab right side me ek dropdown bar hai, yaha par settings me jaaye.
- Dropdown bar me click kare.
- Settings par jaye.
Step 3
Ab agli window me timeline and tagging settings open hogi.
- Timeline and tagging section me click kare.
- “How can i manage tags people add and tagging suggestions” ke samne right side me [off] ke tab par click kare, baad me aap isse edit bhi kar sakte hai.
Step 4
Ab ek slide open hogi, “review tags people add to your own posts before the tags apear on facebook” yaha par aapko do options milte hai:-
- Enable:- Tagging ka ek notification recieve hoga, aap chahe to approved kar sakte hai ya phir remove kar de.
- Disable:- Iss option ko select karne par aapko koi notification nahi milega.
Step 5
Iske baad jab bhi ko aapko tag karega to aapko notification mil jayega.
Ab aap chahe to pending items par click karke hide kar de ya phir apni timeline par add kar sakte hai.
Lijiye ab aapki timeline par tagging off ho gayi hai, meri maane to enable option ko hi choose kare, kyuki esa karne se aapko pata chal jata hai ki kisne aapki timeline par post ko tag kiya hai, aur phir aap chahe to usse remove ya publish kar sakte hai.
To Facebook Timeline Tag se related yeh jaankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye, aur post acchi lagi ho to apne friends aur janane walo ke sath isse social network par share bhi jarur kare. Iske sath hi aap humare facebook page ko bhi like kar sakte hai.
Read Also
??Facebook Friends Ko Block Aur Unblock Kaise Kare
??Facebook Password Reset Kaise Kare
??Facebook Friendlist Ko Hide Kaise Kare
??Facebook Par Group Kaise Banaye
??Facebook Par Account Kaise Banaye
??Blogger Me Facebook Page Like Box Kaise Lageye
??Facebook Friend Request Disable Kaise Kare
View Comments (15)
Badiy jaanakri di aapne
thnx
Sir kya aap bata sakte h ki fb page ko kis prakar se promote kiya jaata h
apne friends ko invite kijiye page ko like karne liye. ya iske liye aap paid option bhi choose kar sakte hai.
Kya koi aur tarika Nahi h
Hello aap bta skte ho kya ki m apni post m kuch frnds ko tag kru or vo tag kiye huye frnd kisi ko show na ho mtlb hide ho sakte h kya...
abhi ye option available nahi hai. aap tagged photo ko edit kar remove kar sakte ho.
pahle mujhe baar-baar log tag karte the, par aapki wajah se mera fb timeline clean hai... Thanks
welcome
Sir, aapne bahut achchi jaankari di uske liye thank you.
welcome
Thank you so much i really need this
welcome
Sir jab Mai kisi bhi group me comment ya like karta hu to hamare dosto ko pata ho jata hai but mai ye nahi chahta hu ki unko pata chale …
Ya koi bhi page agar like karta hu to unhe show hota hai. Ise kaise band kare plz tell me sir
abhi fb me aisa koi option nahi hai jiske through aap kisi other page ke likes aur group commenting ko hide kar sake.