Facebook Profile Ko Facebook Page Me Kaise Badle
Hello friends, social networking sites me facebook ki position aap acchi tarah se janate honge. Internet ka use karne vala lagbhag har byakti ka iss platform par account hai. Faceboome account banakar aap apne dosto aur janane walo se online connect reh sakte hai. Apne photo, video messages ek dusre ke sath share kar sakte hai. Aur facebook page banakar apne business ko online promote kar sakte hai. Lekin kya aap janate hai ki hum apne facebook account ko facebook page me convert kar sakte hai. Agar nahi janate hai to aaj mein aapko bataunga ki apne facebook profile ko facebook page me kaise badle.
Facebook Profile Ko Facebook Page Me Kaise Badle
Apne facebook account ko facebook page me change karna koi mushkil kaam nahi hai. Iske liye bus aapko niche diye easy steps follow karna hai. Facebook account ko facebook page me convert karne ke liye inn steps ko follow kare.
Step 1
Sabse pehle apne uss facebook account me login kare, jisko facebook page me convert karna chahte hai. Iske baad facebook page migrate link open kare, aur Get started button par click kare.
Step 2
Ab ek popup window open hogi, isme Continue ki button par click kare.
Step 3
Iske baad next window me page ke bare me setting karni hai.
- Facebook page ka name, category, address, phone number aur short description edit karke set kare.
- Next ke button par click kare.
Step 4
Ab agle page me friendlist se apne friends ko select kare.
- Select all link par click karke apne sabhi friends ko select kare.
- Next ke button par click kare.
Step 5
Next page me agar aapki koi photo album hai to add kar sakte hai, aur finish button par click kare.
Lijiye dosto kaam ho gaya, aapka facebook account ab facebook page me convert ho chuka hai.
Ummeed hai dosto aapko ye jaankari acchi lagi hogi, agar iss post se related aapka koi bhi saval hai to apne comment ke through puch sakte hai. Aur agar ye jaankari aapko helpful lage to iss social networking sites par share bhi jarur kare.