Facebook password change kaise kare iss post me hum janenge to agar aap facebook user hai aur apne facebook account ka password bhul gaye hai aur nahi janate ki facebook password reset kaise karte hai to iss post me aapko apne fb password ko change karne ki puri jankari mil jayegi.
Apne facebook account ka password easily aap change kar sakte hai aur wapas apne fb account ko access kar sakte hai lekin mostly users ko ye pata nahi hota hai ki facebook account ka password kaise chanage karte hai isliye agar aap bhi nahi janate hai to niche diye easy steps ko follow kare.
Facebook Password Change Kaise Kare | Reset Facebook Password
1 Sabse pehle Facebook app open kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab next interface me top right corner me Settings gear icon par click kare.
4 Iske baad fb security section me Security and login option par click kare.
5 Ab next interface me login section me Change password option par click kare.
6 Iske baad next interface me aap apna fb password change kar sakte hai yahapar;
- Current password ki field me apna facebook password enter kare.
- New password ki field me jo password create karna chahte hai vo enter kare.
- Re-type new password ki field me same new password enter kare.
7 Finally bottom side me Udate password option par click kar dijiye.
Iss tarah se aap easily apne facebook account ka password change kar sakte hai lekin agar aapko apne facebook account password yaad nahi hai to iss condition me kaise aap apne facebook password ko reset kar sakte hai chaliye janate hai.
1 Upar diye 6 steps follow kare.
2 Iske baad password change option me Forgot password option par click kare.
3 Iske baad verification code receive karne ke 2 options aayenge inme;
- Send code via email option ko select kare agar email par code mangwana hai.
- Send code via sms option select kare agar phone number par code receive karna hai.
4 Dono me se koi ek option select karne ke baad Continue option par click karna hai jiske baad verification code enter karne ka option aayega.
5 Iske baad aapki gmail id or phone number jo bhi aapne select kiya hai uspar ek Verification code receive hoga isse Note kare.
6 Iske baad facebook me Verification code enter karke Continue button par click kare.
7 Ab password enter karne ka option aayega to yahapar apna Facebook password enter karke Continue option par click kare.
8 Iske baad password set karne ka option aayega yahapar apna New password enter karke Verify kare aur Next option par click kar dijiye.
Iske baad aapka facebook password reset ho jayega to iss tarah se aap apne facebook account ka password change or reset kar sakte hai aur agar apne fb account ka password bhool jate hai to password reset bhi easily kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki facebook ka password change kaise karte hai, agar aapko ye jankari aapko helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jajrur kare.
View Comments (1)
Can not match old password not canect