FACEBOOK

Facebook Page Deactivate or Reactivate Kaise Kare

Facebook page deactivate or reactivate kaise kare iss post me hum janenge so agar aap facebook user hai aur facebook par aapko koi business page hai aur apne facebook business page ko deactivate karne ki jankari pana chahte hai ya fir apne deactivated facebook fan page ko reactivate karne ke bare me janana chahte hai to ye post aapke liye hi hai.

Apne facebook page ko kabhi bhi aap temporary deactivate kar sakte hai kuch time ke liye apne fb page se kuch time ke liye break le sakte hai isliye aapko pata hona chahiye ki apne fb page ko deactivate or reactivate kaise karte hai aur agar aap nahi janate hai ki facebook page deactivate or reactivate kaise karte hai to niche diye steps follow kare.

Facebook Page Deactivate or Reactivate Kaise Kare

Apna facebook business page deactivate karne ke liye aur kuch time ke liye fb page se breake lene ke liye aapko kya karna hai chaliye step by step janate hai.

Facebook Page Deactivate Kaise Kare

1 Sabse pehle Facebook app open kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab next interface me apne profile name ke samne Dropdown icon par click kare.

4 Iske baad bottom side se ek popup open hoga isme apna Business page ko select kare.

5 Ab aap apne facebook profile se page me switch ho jayenge yahapar fir se top right corner me Settings gear icon par click kare.

6 Iske baad next interface me Page settings option par click kare.

7 Ab page settings me Facebook page infomation section me Access and control option par click kare.

8 Iske baad next interface me Temporarily deactivate or permanently delete your page option par click kare.

9 Ab next interface me page delete or deactivate karne do options aayenge inme Deactivate page option ko select karke Continue option par click kare.

10 Iske baad password enter karne ka option aayega to yahapar apna Facebook password enter karke Continue option par click kare.

11 Ab next interface me fb page deactivate karne ka Reason select karke Continue option par click kare.

  • Iske baad next interface me facebook ki suggestions aayengi jinko follow karke aap apne fan page ko deactivate karne ke bajay log kar sakte hai ya fir koi post delete kar sakte hai agar kisi post ki vajah se page deactivate kar rahe hai.
  • Ab agar aapko har condition me page deactivate hi karna hai to yahapar Reactivating your account ke dropdown par click karke uss time ko select kare jisme automatically page reactivate karna hai.

12 Reactivating page time select karne ke baad Continue option par click kare.

  • Iske baad next interface me facebook page ka all data kisi other service jaise ki google phone or dropbox etc me transfer karne ka option aayega to yahapar Transfer option par click karke data transfer kar sakte hai.
  • Opt out of receiving future notifications from facebook option ko select karke apne page ki sabhi notifications ko block kar sakte hai.

13 Iske baad bottom side me Continue option par click kare.

14 Ab jo next interface option hoga isme finally Deactivate page option par click kar dijiye.

Iske baad aapka facebook busines page deactivate ho jayega aur aap apne facebook profile me switch ho jayenge, iss tarah se easily aap apne facebook business page ko deactivate kar sakte hai kuch time ke liye apne facebook fan page se break le sakte hai.

Ab agar aapko apna deactivated facebook page ko wapas reactivate karna hai to iske liye aapko kya karna hai chaliye step by step janate hai.

Facebook Page Reactivate Kaise Kare

1 Sabse pehle facebook app open karke top right corner me apne Profile icon par click kare.

2 Ab next interface me top side me Settings gear icon par click kare.

3 Iske baad facebook ki settings me Account section me Access and control option par click kare.

4 Ab next interface me Reactivation option par click kare.

5 Iske baad next interface me apne Business page name ke samne finally Reactivate option par click kar dena hai.

Iske baad fir se aapka facebook fan page reactivate ho jayega aur ab aap fir se apne facebook page me posts share kar sakte hai apne facebook fan page ka use kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki apne facebook page ko deactivate kaise karna hai aur deactivated facebook page ko wapas reactivate kaise karte hai ye bhi aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.