Facebook page delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aap facebook user hai aur facebook par aapne apna business page create kiya hai to apne facebook business page ko kis tarah se aap remove kar sakte hai iski puri jankari iss post me aapko mil jayegi.
Agar aap apne talent ya business ko promote karna chahte hai to facebook fan page or business page create karke easily promote kar sakte hai aise me agar aapne facebook par multiple pages create kar liye hai aur ab kisi ek page sabhi fan pages ko permanently delete karna chahte hai to iske liye aapko kya karna hai chaliye step by step janate hai.
Facebook Page Delete Kaise Kare
1 Sabse pehle Facebook app open kare.
2 Iske baat top right corner me 3 lines par click kare.
3 Ab next interface me apne profile name ke samne Dual profile icon par click kare.
4 Iske baad bottom side se ek popup open hoga isme apne Facebook page ko select kare.
5 Ab aap apne facebook page me switch ho jayenge to yahapar top right corner me Page profile icon par click kare.
5 Iske baad next interface me top right side me Settings gear icon par click kare.
6 Ab next interface me Page settings option par click kare.
7 Iske baad next page me facebook page infomation section me Access and control option par click kare.
8 Ab next interface me Temporarily deactivate or permanently delete your page option par click kare.
9 Iske baad next interface me Delete page option ko select karke Continue option par click kare.
10 Ab next interface me fb page delete karne ka Reason select kare.
11 Iske baad next interface me Edit notifications settings option par click karke delete karne se pehle page notifications ko customize kar sakte hai otherwise Continue option par click kar dijiye.
12 Ab next interface me facebook ki suggestions aapke samne aayengi to page delete karne se pehle yahapar;
- Go to activity log option par click karke aap apne page ke contents ko check kar sakte hai aur delete karne se pehle kahi or move kar sakte hai.
- Download info option par click karke apne page data ko download kar sakte hai.
- Transfer info option par click karke other services jaise ki google photos etc me apne contents ko transfer kar sakte hai.
13 Agar aap aise kuch nahi karna chahte hai to bottom side me Continue option par click kare.
14 Iske baad next interface me apna Facebook password enter karke Continue option par click kare.
15 Ab next interface me final worning aayegi to yahapar Continue option par click kare.
15 Iske baad next interface me Delete page option par click kar dijiye.
Delete page option par click karte hi kuch hi der me aapka facebook page permanently delete ho jayega, iss tarah se easily aap apne fb page ko hamesha ke liye delete kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki apne fb page ko remove kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho go isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe