X
    Categories: FACEBOOK

Facebook Account Permanently Delete Kaise Kare

Facebook account delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aap facebook user hai aur apni facebook id delete karna chahte hai aur nahi janate ki apne facebook profile ko delete kaise karte hai to iss post me aapko apne fb account ko remove karne ki puri jankari mil jayegi.

Apne facebook account ko aap kuch simple aur easy steps me permanently delete kar sakte hai, apne fb account ko remove karne se pehle aapko acchi tarah se soch lena hai kyunki agar ek baar account remove ho gaya to aapke facebook account ka all data erase ho jayega.

Halanki fb account remove karne ke 30 days ke ander aap apne facebook account me login karke wapas recover kar sakte hai lekin agar 30 days ke ander aapne apne fb account me login nahi kiya to 30 days ke baad aapka fb account permanently remove ho jayega.

Facebook account par uploaded aapki sabhi photos, videos or posts bhi permanently remove ho jayegi jisse aap wapas restore nahi kar sakte hai isliye fb account deletion se pehle acchi tarah se soch lijiye aur agar delete hi karna chahte hai to iske liye aapko kya karna hai chaliye step by step janate hai.

Facebook Account Permanently Delete Kaise Kare

1 Sabse pehle Facebook app open kare.

2 Iske baad top right corner me 3 lines par click kare.

3 Ab next interface me top right corner me Settings gear icon par click kare.

4 Iske baad account section me Access and control option par click kare.

5 Ab next interface me Deactivation and deletion option par click kare.

6 Iske baad next interface me Delete account option ko select karke Continue to account deletion option par click kare.

7 Ab next interface me fb account delete karne ka Reason select kare.

8 Iske baad next interface me notification settings ko edit kar sakte hai otherwise Continue to account deletion option par click kare.

9 Ab next interface me kuch suggestions aayengi jinhe aap follow kar sakte hai yahapar;

  • Deactivate account option par click karke aap apne facebook account ko delete karne ki bajay deactivate kar sakte hai, kyuki agar aap messenger ka continue use karna chahte hai to fb account delete karne par messenger bhi delete ho jayega isliye account delete karne ke bajay deactivate karke facebook account se break le sakte hai.
  • Go to activity log option par click karke apni photos videos or posts ko archive section me move karke publically hide kar sakte hai agar aap facebook me uploaded kuch post, photos aur videos ki vajah se apne account ko delete kar rahe hai.
  • Download info option par click karke fb account delete karne se pehle apne account data ki copy download kar sakte hai.
  • Transfer info option par click karke apne facebook data ko kisi other service me transfer kar sakte hai.

10 Agar aap aisa kuch bhi nahi karna chahte hai direct account remove karna chahte hai to yahapar Delete account option par click kare.

11 Iske baad next interface me apna Facebook password enter karke Continue option par click kare.

12 Ab next interface me final warning aayegi to yahapar finally Delete account option par click kar dijiye.

Delete account option par click karte hi aapka account delete hona start ho jayega aur kuch hi der me delete ho jayega aur session expired ka message aapko show ho jayega jisme ok option par click karte hi aap login page me pahuch jayenge.

Ab agar agar agley 30 days ke ander aapka mind change ho jata hai aur aap apne account ko recover karna chahte hai to fir se login karke fb account restore kar sakte hai otherwise agar aap 30 days ke baad try karenge to aapka account recover nahi hoga, aapka facebook account permanently remove ho jayega.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki facebook account permanently delete kaise kare hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (3)