Facebook messenger par deleted message recover kaise kare aaj iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aapka facebook messenger ka use karte hai aur galati se messenger par koi messege delete ho gaya hai jisse aap wapas recover karna chahte hai to iss post me bataye gaye tarike se easily kar sakte hai.
Facebook messenger par delete huye messeges ko restore karne ke liye aapko apne facebook account ko open karke niche bataye gaye steps ko follow karna hai. To chaliye ab aapka jyada time na lete huye start karte hai aur janate hai facebook messenger par deleted message recover kaise kare.
- Messenger Par Aap Blocked Hai ya Nahi Kaise Pata Kare
- Facebook Messenger Par Secrete Message Kaise Bheje
Facebook Messenger Par Deleted Message Recover Kaise Kare
1 Sabse pehle apne Facebook account me login kare.
2 Ab top right corner par 3 lines par click kare aur settings and privacy par click karke settings par click kare.
3 Ab next interface me thoda scroll down kare aur your facebook information section me access your information par click kare.
4 Iske baad agle page me download your information ke link par click kare.
5 Next interface me facebook par share kiye gaye alag alag options aapke samne aayenge jaise ki posts, photos and videos, comments etc. Inn sabhi options ko deselect kare aur Messeges option ko select kare.
6 Ab bottom side me date range select kar sakte hai, Html aur Json format me kisi bhi format ko selct kar sakte hai, Media quality me high, medium aur low select kar sakte hai.
7 Finally bottom side me Create file option par click kar dijiye.
Create file option par click karte hi aapke messages ki file create hona start ho jayegi aur kuch hi time me ye completely create ho jayegi.
File create hone ke baad aapko available copies tab me iss file par click karke isse download karna hai aur download karne ke baad jaise hi aap iss file ko open karenge aapke sabhi deleted messages wapas aa jayenge.
Iss tarah se aap facebook messenger par deleted messages ko wapas recover kar sakte hai, ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.