Hum facebook par photo upload karte hai, aur chahte hai ki uspar bahut sare likes mile. Kyuki jitne jyada facebook likes humari photo ko milte hai hume utni hi jyada khushi hoti hai. Aur isse humare friends bhi impress hote hai.
Facebook ki iss trick se hum apni upload ki hui photo par likes apne hisab se badha sakte hai. 100, 500, 1000, 10000 jitna aap chaho utna badha sakte ho, vo bhi kuch hi seconds me.
Facebook Likes Photo Par Kaise Badhaye
Facebook photo par likes counting badhana koi mushkil nahi hai aap iss simple trick se ye kar sakte hai. Aaiye step by step dekhte hai iss trick ko kaise use karna hai.
Facebook Likes Kaise Badhaye
Step 1
Sabse pehle facebook par login kare. aur jiss photo ke like numbers ko badhana hai usse select kare.
- Ab jin logo ne likes kiya hai uss link par click kare.
- Inspect par click kare.
Step 2
Ab ek html coding page open hoga.
- Likes numbers par right click kare.
- Edit text par click kare.
Step 3
Iske baad like counts edit karne ke liye option aayega.
- Yaha par jitna chahe utne numbers badha sakte hai, jaise image me 5000 likes dekh sakte hai.
Step 4
Ab Like numbers dalne ke baad inspect elements ko cross karke band kar de.
Step 5
Ab inspect html coding page band karte hi aap dekh sakte hai. Ki aapki facebook image ke likes badh gaye hai. Jitne counts badhaye the utne show ho rahe hai.
Isi tarah aap jitna chahe utne likes show kar sakte hai. Aur apne aur apne friends circle me apne aap ko popular sabit kar sakte hai.
Ummeed hai dosto ki aap iss facebook likes trick ko jaan gaye honge. Agar phir bhi koi problem ho to aap hume comment karke puch sakte hai. Aur agar ye post acchi lagi ho to iss apne social circle me share karna bilkul na bhule.
Video Dekhe
View Comments (4)
Sir apke dwara diye gye information maine try kiya bt likes increase ho jane pe image back kr rhe h vapas vhi image open kr rhe hai to real likes show kr rha hai. Aisa kyu ho rha hai sir
ya nice
Kia download karo pehla
iske liye aapko kuch bhi download nahi karna hai