X
    Categories: FACEBOOK

Facebook Friends Ko Block Aur Unblock Kaise Kare

Hello friends, hum sabhi facebook ka use apne dosto, janane walo ke sath chat karne, videos and photos ko upload karne tatha ek dusre ki posts share karne ke liye karte hai, lekin anjane me humari friendlist me kuch aise users bhi add ho jaate hai jo galat post karke hame bar bar pareshan karte hai, isliye jarurat hoti hai unn users ko friendlist se hatane ki, to aaj hum jaanege ki facebook friends ko block aur unblock kaise kare.

Agar aap nahi chahte ki koi facebook user aapko follow kare, post par comment kare, ya phir share aur like kare to aap usse hamesha ke liye block kar sakte hai, yahi nahi agar koi galti se block ho gaya ho to usse phir se friendlist me add bhi kiya ja sakta hai.

Facebook Friends Ko Block Aur Unblock Kaise Kare

Hum facebook par account banana, group banana, aur page banakar paise kamane ke baare me jaan hi chuke hai, yahi nahi iske alawa facebook friendlist hide karna, facebook page auto reply karna, aur friend request disable karna aur iske sath hi facebook password reset karna bhi sikh gaye hai, to chaliye ab step by step jaante hai ki kisi facebook user ko block ya unblock kaise kare.

Step 1

Sabse pehle facebook.com me login kare. Iske baad friendlist me jaye phir jisse remove karna hai uski profile open kijiye.

  1. 3 dots icon par click kare.
  2. Block par click kare.

 

Step 2

Ab ek pop-up window open hogi, isme confirm button par click kare.

 

 

Step 3

Iske baad ek popup window open hogi, isme OK button par click kare.

Lijiye aap jiss user ko apni friendlist se hatana chahte they ab vo remove ho chuka hai.

 

??Facebook Ki Puri Jankari Ke Liye Click Kare

??Twitter Ki Jaankari

??Youtube Ki Jaankari

 

Facebook Friend Ko Unblock Kaise Kare

Jitna easy users ko block karna hai utna hi easy unko unblock karna bhi hai, iske liye niche diye steps follow kare.

Step 1

Sabse pehle facebook.com open kijiye.

  1. Dropdown icon par click kare.
  2. Settings me jaye.

 

Step 2

Ab jo page open hoga vahapar steps follow kare.

  1. Blocking tab click kare.
  2. Jo friend block hai uske name ke aage unblock par click kare.
  3. Blocking ke liye iss option ka bhi use kar sakte hai.

 

Step 3

Ab ek popup window open hoig, isme Confirm button par click kare.

Iss tarah se aap apne friends wapas apni friendlist ke sath add kar sakte hai.

Dosto ye jaankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye, aur agar post acchi lagi ho to isse social networking sites par share karna naa bhule.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (4)

  • Ramesh ji aapne bahut achhi jankari di hai, bahut sare aise log hai jinko sirf porn photo aur video post karne me hi interest hota hai, agar wo hamari friend list me hote hai to hamare friends ko bhi show hoti hai jisse humari image apne dosto ke samne khrab ho jati hai.