X
    Categories: FACEBOOK

Facebook Account Hacking Se Kaise Bachaye – Protect your FB Account from Getting Hacked

Facebook account hacking se Kaise bachaye aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu so agar aap apne facebook account ki security ko aur bhi jyada strong banana chahte hai aur apne facebook account ko hack hone se bachana chahte hai to is post me jo security settings mein aapko batane wala hu unhe turant enable kar lijiye.

Aksar kai logo ke facebook accounts hack ho jate hai aur unki har ek facebook activity koi unknown user dekh raha hota hai aur unhe pata bhi nahi chalta hai kai users to apna access bhi apne facebook account se kho dete hai aur hackers unki har ek login details password, email address aur registered phone number ko bhi change kar dete hai jisse ki unka facebook account wapas recover hona namumkin ho jata hai.

Aise me agar aap pahle hi inn security settings ko on kar dete hai to aapke facebook account ko koi bhi hacker hack nahi kar payega isliye niche diye gaye easy step ke through aap facebook ki inn important settings ko enable kar dijiye to chaliye shuru karte hain aur jante hai ki facebook account ko hacking se kaise protect kar sakte hai.

Facebook Account Hacking Se Kaise Bachaye – Protect your FB Account from Getting Hacked

1 Sabse pehle Facebook app open kare.

2 Iske baad top right corner me 3 lines par click kare.

3 Ab next interface me bottom side me Settings and privacy option par click karke Settings option par click kare.

4 Ab settings page me Password and security option par click kare.

5 Iske baad next page me Two factor authentication section me Use two factor authentication option par click kare.

6 Ab jo next interface open hoga isme Text message option ko select karke Continue option par click kare.

7 Iske baad next page me aapka Registered phone number selected hoga to yahapar Continue option par click kare.

8 Ab next page me apne mobile me aaya Verification code enter karke Continue option par click kare.

9 Iske baad next interface me two factor authentication option successfully enable ho jayega finally yahapar Done option par click kar dijiye.

  • Note: Iske baad jab bhi aap apne fb account me login karenge ya kisi new device me apna account open karenge to aapke registered phone number par ek OTP code aayega aur jab tak aap OTP code enter nahi kar dete tab tak aapka account login nahi hoga.
  • Yahapar recovery code option par click karke aap kuch codes bhi paa sakte hai aur unn recovery codes me se kisi bhi code ka use aap tab kar sakte hai jab kisi technical error ki vajah se aapko two factor authentication code receive nahi hota hai.

10 Iske baad yaha se back aaye aur two factor authentication section me Code generator option par click kare.

11 Ab next interface me bottom side me Activate option par click kare.

12 Iske baad code generator option enable ho jayega aur aapko ek Security code mil jayega jise aap abhi 60 second ke under use kar sakte hai kisi new device ya browser me apne facebook account ko login karne ke liye.

  • Note: Code generator enable hone ke baad yahapar aapko har baar ek security code milega aur jab tak aap iss security code ko new browser or new device me apne fb account ko login kare ke liye enter nahi kar dete hai tab tak uss device me aapka account login nahi hoga.
  • Iss security code ko aap 60 seconds ke under use kar sakte hai otherwise 60 seconds ke baad ye code automatically change ho jayega aur fir aapko new change code enter karna hoga.
  • Har ek baar jab bhi aap naye device or browser me fb login karenge to code generator option open karke pehle aapko security code generate karna hoga fir uss code ko enter karke hi aap login kar sakte hai otherwise nahi kar payenge.

Iss tarah se aap inn dono hi settings ko enable karke apne facebook account ki security ko aur bhi jyada strong bana sakte hai aur apne fb account ko hack hone se bacha sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki facebook account ko hack hone se kaise protect kar sakte hai agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More