X
    Categories: FACEBOOK

Facebook Account Hack Hone Se Kaise Bachaye – Protect your Facebook Account from Being Hacked

Facebook account hack hone se kaise bachaye iss post me mein aapko batane wala hu, agar aap facebook user hai to aapko apna account protect jarur karna chahiye aur apne fb account ki protection ke liye aapko kya karna chahiye iss post me aap sikh jayenge.

Aaye din logo ke facebook accounts hack ho jate hai aur unhe pata bhi nahi chalta hai aise me hackers unki har ek facebook activity ko dekh sakta hai aur time aane par unke account ka misuse bhi kar sakte hai, isliye agar aapka account hack ho jata hai to aap iska pata kaise kar sakte hai aur aise me aapko kya karna hai chaliye iss post me janate hai.

Facebook Account Hack Hone Se Kaise Bachaye – Protect your Facebook Account from Being Hacked

1 Sabse pehle Facebook app open kare.

2 Ab top right corner me 3 lines par click kare.

3 Iske baad bottom side me scroll kare aur Settings and privacy option par click kare.

4 Ab Settings option par click kare.

5 Iske baad Security section me Security and login option par click kare.

6 Ab next interface me Whare you’re logged in ke samne See all option par click kare.

7 Iske baad aapke samne vo sabhi devices aa jayenge jinpar aapke facebook account login hoga. Yahapar jo Unknown device aapko show ho raha hai uske samne 3 Dots par click kare.

8 Ab bottom side se ek popup open hoga to isme Log out option par click kare.

9 Iske baad bottom side me Log out of all sessions option par click kare.

10 Ab next interface me Log out option par click kare.

11 Iske baad next page me Change password option par click karke apna password change kar dijiye.

Iss tarah se aap easily pata laga sakte hai aapka facebook account hacked hai ya nahi aur agar hacked hai to upar bataye tarike se aap apna facebook account secure bana sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki facebook account hack hone se kaise protect karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More