X
    Categories: SNAPCHAT

SnapChat Account Pe Security Kaise Lagaye – How to Secure your Snapchat Account

Snapchat account pe security kaise lagaye iss post me hum janenge so agar aap snapchat user hai aur apne snapchat account ko more safer aur more secure banana chahte hai to iss post me jo security steps mein aapko batane wala hu usse dhyan se follow jarur kare.

Agar aap apne snapchat account ki security ko lekar serious hai to aapko kuch jaruri steps ko time to time follow karte rehna hoga jaise ki privacy settings check karna hai strong password use karna hai aur time to change bhi karna hai iske alawa apni email address aur registered phone number ko verify karna hai iske sath hi aapko niche diye easy steps ko bhi follow karna hai.

SnapChat Account Pe Security Kaise Lagaye – How to Secure your Snapchat Account

1 Sabse pehle Snapchat app open kare.

2 Iske baad top left corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab profile page me top right corner me Setting gear icon par click kare.

4 Iske baad settings page me Two factor authentication option par click kare.

5 Ab next interface me kuch instructions aayengi to yahapar bottom side me Continue option par click kare.

6 Iske baad next interface me me 2 option aapke samne aayenge to inme Text verification option par click kare.

7 Ab jo next interface open hoga isme phone me aaye Otp code enter kare.

8 Iske baad next page me recovery code generate karne ka option aayega to bottom side me Generate option par click karke recovery code le sakte hai otherwise top right corner me Skip option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke Snapchat account par two step verification code enable ho gaya hai aur ab jab bhi aap apne ya kisi new device me apna snapchat account login karenge to aapke number par ek OTP code aayega aur jab tak aap OTP code enter nahi karenge tab tak aapka snapchat account login nahi hoga.

Iske baad aapke alawa koi unknown person aapke snapchat account me login nahi kar payega kyuki login karne ke liye two factor authentication code ko enter karna padega jo aapke phone number par receive hoga.

I hope aap samajh gaye honge ki snapchat account ki security ko aur bhi jyada strong kaise banate hai two factor authentication option ko enable karke agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More