Facebook account hack hai ya nahi kaise pata kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aapko doubt hai ki aapka fb account hacked hai to aap easily pata kar sakte hai ki kaun aapke facebook account ko access kar raha hai.
Agar aapke alawa bhi koi aur hai jo aapka fb account access kar raha hai to aap easily uska pata karke usse remove kar sakte hai. Aur apne account ko more safer aur more secure bana sakte hai. Iske bus aapko iss post me bataye gaye steps ko follow karna hai to chaliye start karte hai.
Facebook Account Hack Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare
Step 1. Sabse pehle apne Facebook account me login kare aur top rightside me 3 Lines par click kare.
Step 2. Ab bottom side me scroll kare aur Setting and privacy ke option par click kare.
Step 3. Iske baad kuch aur option aayenge to yahapar Settings par click kare.
Step 4. Setting ke ander security section me Security & login ke option par click kare.
Step 5. Ab next interface me aapko Where you’re logged in ka option show hoga. Yahapar jitne bhi devices me aapka facebook account open hoga vo sabhi show ho jayenge.
Agar aapka account ko koi aur bhi access kar raha hai to aapko yahapar More ka option show hoga jaise hi aap ispar click karenge, vo sabhi devices show ho jayenge jo jo aapke facebook account ko access kar rahe hai.
Step 6. Ab yahapar bottom side me scroll kare aur Log out of all sessons ke option par click kare.
Step 7. Next interface me aapke samne log out karne ka option aayega to finally yahapar Log out ke button par click kar dijiye. Aapka facebook account sabhi devices se log out ho jayega iske baad aap isse apne mobile me fir se login kar sakte hai.
Aapka facebook account hacked hai ya nahi kaise pata kare i hope ab aap samajh hi gaye honge. Fir bhi aapka koi sawal ya doubt hai to comment karke puch sakte hai. Aur agar aapko ye trick helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.