Chrome ki deleted search history kaise dekhe iss post me hum janenge so agar aap chrome browser use karte hai aur google chrome ki search history ko galati se delete kar chuke hai to iss post me jo trick mein aapko batane wala hu iske through aap easily chrome ki delete history nikal sakte hai, Google chrome ki deleted search history nikalne ke liye mein aapko 2 methods bataunga.
Google chrome par jo kuch bhi hum search karte hai uski ek alag se search history create hoti hai jisse hum chrome ke top right corner me 3 dots par click karke aur fir history option par click karke dekh sakte hai, lekin agar galati se chrome ki search history remove ho gayi hai to kaise chrome history access karna hai chaliye iss post me janate hai.
Chrome ki Deleted Search History Kaise Dekhe
First Method
1 Sabse pehle Google chrome open kare.
2 Iske baad search baar me My activity likhkar search kare.
3 Ab search result me sabse pehla link My activity par click kare.
Iske baad next interface me google chrome ki all deleted search history aapke samne aa jayegi, yaha par thoda niche ki taraf scroll karenge to aapki current chrome history show ho jayegi, aur jaise jaise niche ki taraf scroll karte jayegi aapki all old chrome history aapko show hoti rahegi.
Second Method
1 Sabse pehle apne phone me Google app open kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab jo option aayenge inme Search history option par click kare.
Iske baad aapki deleted chrome history aapke samne aa jayegi, iss tarah se aap iss 2nd method ke through bhi apni all deleted chrome history dekh sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki google chrome ki delete history ko access kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe
View Comments (1)
Samiullah