WORDPRESS

500 Internal Server Error Kya Hai Aur Isse Fix Kaise Kare | Fix WordPress 500 Server Error

500 internal server kya hai aur isse fix kaise kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aapko bhi apne wordpress blog par 500 internal server error ko face karna pad raha hai. To aaj ki ye post aapke liye kafi helpful ho sakti hai. Kyuki iss post me hum 500 internal server error ki problem ko fix karne ke bare me detail se samjhenge.

Agar aap apni site ko open karte hai aur aapko achanak se “500 internal server error show hota hai. To iska sidha matlab hai ki aapke wordpress blog par kuch na kuch problem hui hai. Lekin isme aapko tension lene ki bilkul bhi jarurat nahi hai kyuki ye ek chhota sa issue hai. Aur agar aap iss post ko sahi se follow kar lete hai to isse aap kuch hi minutes me solve kar sakte hai.

500 Internal Server Error Kya Hai

Jaise ki aap name se hi samajh sakte hai ki 500 internal server error, yani ki ye ek normal HTTP status code hai. Aur iska matlab ye hai ki aapki website server par kuch na kuch problem hui hai. But kya problem hai iska exact pata nahi lag pata hai.

Aapke wordpress blog par 500 internal server error kai tarah se show ho sakti hai. Jab bhi aapke blog par 500 server error generate hoti hai to website open karte hi aapko ye 500 server error message show hoti hai. Aur alag alag website par ye error message alag alag tarike se show ho sakta hai jaise ki aap niche dekh sakte hai.

  • 500 Internal Server Error
  • 500 Server Error
  • Internal Server Error
  • 500 Error
  • HTTP 500 – Internal Server Error
  • HTTP Error 500
  • Temporary Error (500)
  • HTTP 500 – Internal Error
  • 500 HTTP Error
  • Etc

500 Internal Server Error Reasons

WordPress blog par 500 server error aane ke kai reasons ho sakte hai aur jo 500 server error message show hone ke main reasons hai vo niche mein aapko bata raha hu. Mostly inhi karan se wordpress blog par 500 server error aati hai aur agar aap bhi apne wordpress blog par 500 internal server error ko face kar raha hai to sabse pehle aapko inhi reasons ko focus karke inhe sabse pehle fix karna hoga. Agar fir bhi aapki problems solve nahi hoti hai to finally aapko apne hosting support team se contact karna hoga.

Plugins Updatation

Aap apne wordpress blog par aksar plugins install karte honge aur aise me agar aapne koi aisa plugin install kar liya hai jo aapke wordpress ko support nahi karta hai to iss reason se aapko 500 internal server error ki problem ko face karna pad sakta hai.

Htaccess File

Mostly hoting server par wrong coding ki vajah se htaccess file corrupt ho jati hai aur vo aapke blog ki internal server information ko collect nahi kar pati hai aur 500 server error aati hai.

Wrong Coding

Agar aap apne blog par kuch update karne ke liye apne editor section me kuch bhi edit ya add karte hai. Aur vo sufficient nahi hai to iss reason se bhi server error aa sakti hai.

PhP File Memory

Agar aap apne wordpress blog par kuch updation karte hai jaise ki script ya fir web development ke time par kisi coding me koi error hoti hai. To aapko HTTP 500 – internal server error ka samna karna pad sakta hai.

500 Internal Server Error Kya Hai Aur Isse Fix Kaise Kare | Fix WordPress 500 Server Error

WordPress blog par 500 internal server error aane ke ye top reasons hai aur agar aap iss problem ko face kar rahe hai. Aur nahi jante ki wordpress blog par 500 server error ko fix kaise karte hai to aaj ki ye post aapke liye hi hai aur isse agar aapko koi benefit hota hai to mujhe kaafi khushi hogi. To chaliye friends step by steps jaan lete hai ki wordpress blog par 500 internal server eeror ko fix kaise karte hai.

Deactivate All Plugins

Agar aapke blog par 500 internal server error show ho rahi hai to isse fix karne ke liye sabse pehle to aap apne wordpress blog ke sabhi plugins ko deactivate kar lijiye. Aur agar aap apne wordpress admin section ko open nahi kar pa rahe hai to;

  1. Aapko apne hosting account me login karna hai.
  2. Hosting account me cpanel me jana hai.
  3. Ab aapko file manager ka folder milega to usse open kare.
  4. File manager me aapko public_html ka ek folder show hoga to aapko isse open karna hai.
  5. Public_html ke under aapko wp-content ke folder ko open karna hai.
  6. Aur fir wp-content folder me aapko plugins folder show hoga to iss folder par right click kare aur isse rename kar dijiye. Rename me aap kuch bhi name de sakte hai jaise ki plugins_new ya fir plugins-old.
  7. Iske baad apne wordpress blog me login kare aur agar aapki problem solve ho jati hai to iske baad aapko fir se renamed plugin folder ko wapas plugins me convert karna hai.
  8. Renam karne ke baad ab aapko apne sabhi plugins ko one by one karke manually activate kar lena hai.

Rename .Htaccess file

.Htaccess file matlab hypertext access file ek aisi useful file hai jiska use hosting server me directory ke according settings ko configure karne ke liye hota hai. Basically wordpress site par permalinks structures ko set karne aur server configuration ke liye .htaccess file ka use hota hai.

Agar aap apne wordpress ke hosting server par .htaccess file me kuch bhi modification karte hai to aapke blog par 500 internal server error aa sakti hai. Isliye .htaccess file me configuration karte time aapko careful rehna hota hai kyuki agar ek chhoti si bhi mistake ho jaye to ye galati aapki puri site ko band kar sakte hai.

Agar aapki .htaccess file me external connections bahut jyada hai aur iss vajah se server access me time out ho ya run time error aa rahi hai. To bhi aapke wordpress blog par 500 server error ka aapko samna karna pad sakta hai. Reasons chahe jo bhi ho chaliye jan lete hai ki ab iss 500 internal server error ko aapko fix kaise karna hai.

  1. Sabse pehle aapko apne hosting account me login karna hai aur cpanel open kare.
  2. Cpanel me file manager foler ko open kare.
  3. File manager ke under root directory me aapko .htaccess file show hogi to iss file par aapko click karna hai. Aur upar ki side highlighted rename ke folder par click kar ke koi bhi other name de dijiye.
  4. Ab apna wordpress dashboard open kare aur yahapar Settings option me permalink par click kare. Aur permalink ke under aapko kuch bhi changes nahi karne hai bus finally Save changes ke button par kar dijiye.

Increase PhP Memory Limit

Agar upar diye dono tariko ka use karke bhi aapke wordpress blog par internal server error fix nahi ho rahi hai to ab aapko apni hosting server par PHP memory limit ko extend karna hoga. Kyuki PhP memory limit over hone se bhi aapko 500 server error ko face karna pad sakta hai. To chaliye PHP memory limit ko increase kaise karna hai iske liye niche diye steps ko follow kare.

  1. Iske liye sabse pehle apne hosting web server me cpanel ke under file manager me jaye.
  2. File manager me Public_HTML ko open kare.
  3. Public_html ke under aapko wp-config.php file ko edit mode me open kare. Aur “;/* That’s all, stop editing! Happy blogging.” ke thik pehle aapko define( ‘WP_MEMORY_LIMIT’, ’64M’ ) code ko add kar dijiye.

Incorrect Coding

Agar aapne currently apne wordpress editor section me koi aisi coding enter ki hai jiske vajah se aapko 500 http internal server error show ho rahi hai to turant iss coding ko remove kar dijiye.

  1. Remove karne ke liye aapko apne web hosting par file manager me cpanel open karna hai.
  2. Cpanel me public_html ko open karna hai.
  3. Yahapar jis file me editing karne par error aayi hai usse edit kar usse remove kar dijiye.

Upload WordPress Core File

Agar inn sabhi tariko se aapki site par http 500 server error fix nahi hoti hai to ab isse solve karne ke liye wordpress core file ko FTP ke through upload kare.

  1. Sabse pehle wordpress ka latest version download kare.
  2. Download karne par ek zip file download hogi to pehle isse extract kar lijiye.
  3. Extract hone ke baad isme se wp-config-sample.php file aur wp-content folder ko delete kare.
  4. Ab supportive FTP file apne pc me install aur apne web server se connect kare.
  5. Hosting server se FTP connect ho jane ke baad cpanel me extracted wordpress core file ko upload kar dijiye. Upload karne par agar aapko dublicate file error show hoti hai to isse overwrite kar dijiye.

Upar diye gaye alag alag tariko ki help se aap apne wordpress blog par aaye internal server error issue ko easily fix kar sakte hai. Aur agar tariko ka use karke bhi aapke blog par ye error solve nahi ho rahi hai to better hoga ki aap apne hosting support team se help lein ya fir kisi web developer se contact kare.

So friends i hope aapko 500 internal server error kya hai aur isse kaise fix karte hai ye jankari pasand aayi hogi. Agar aapko ye post helpful lage to isse apne friends ke sath social media sites par share jarur kare. Aur agar aapka koi sujhav ya saval hai to niche comment box me jarur puche.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.