MAKE MONEY

Android Mobile Me Youtube Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye

Hello friends aap youtube par bahut si videos dekhte honge. Aur isme aapka time aur data pack dono ka loss hota hai. Ye alag baat hai ki youtube videos dekhne se knowledge gain hoti hai. Lekin kya kabhi aapko unn youtube videos ko dekhne ke paise mile hai. Zahir si baat hai aap kahenge nahi lekin aaj mein aapko ek aisi android app ke bare me bataunga. Jisme video dekhkar aap kai dollar kama sakte hai. Iss post me aaj hum janenge ki android mobile me youtube videos dekhkar paise kaise kamaye.

Pichli kuch post me mein aapko bata chuka hu ki youtube channel create karke. Aur usme khud ke banaye videos upload karke youtube se earning kaise karte hai. Lekin iss process me aapko kafi mehnat karni padegi. Apne youtube channel ko sahi se customize karna hoga. Aur ho sakta hai ki time bhi kafi lag jaye. Lekin agar aap iss money making tricks ko use karte hai. To aap ghar baithe apne smart phone ki help se fast money generate kar sakte hai.

Agar aap playstore me search karenge to aapko bahut si best money making apps show ho jayengi. But iss app me aapko sirf video dekhna hai. Aur 40 seconds ke ek video dekhne par aapko 0.10 dollar milte hai. Iss tarah se agar aap kam se kam 10 videos bhi dekhte hai to aapke 1 dollar ho jayenge. Jitne jyada aap videos watch karenge aap income bhi utni hi jyada hogi.

Android Mobile Me Youtube Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye

Youtube video dekhkar paise kamane ke liye aapko sirf playstore se ek app download karni hai. Jika name hai Earn money – videos and apps. Ye app ek best money making apps me se ek hai. Jiski help se aap apne android mobile me videos dekhkar easily fast money bana sakte hai. To chaliye ab jyada time na lete huye start karte hai ki android mobile me youtube videos dekhkar paise kaise kamaye.

Step 1

Sabse pehle apne android mobile phone me Earn money – video and apps ko download kar install kar lijiye. Install hone ke baad ab iss app ko open kare.

 

Step 2

Earn money – video and app open karne ke baad aisa interface aapke samne aayega. Yahapar apna valid email aur password enter kare. Aur Sign in or register button par click kare.

Youtube Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye

 

Step 3

Sign in button par click karte hi aapko 2 dollar pehle mil jayenge. Ab youtube videos dekhne ke liye Earn button par click kare.

Youtube Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye

 

Step 4

Ab aapke samne ek video open ho jayega jo kam se kam 40 seconds ka hoga. Isse complete end tak dekhe.

 

Step 5

Video ko pura end tak dekhne ke baad aapke account me 0.10 dollar add ho jayega. App refresh or back karke aap check kar sakte hai.

Youtube Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye

 

Note: Video ke alawa aap koi playstore app install karke bhi earning kar sakte hai. Agar aap app install nahi karna chahte hai to next button par click kar earn button par click kare. Agle window me aapko video watch karne ka option mil jayega. Ab aap samajh hi gaye honge ki android mobile me youtube videos dekhkar paise kaise kamaye.

Payment Kaise Milegi

Payment ki baat kare to aap payment widrawl karne ke bahut se options me se paypal ka use kar sakte hai. Aap kin kin option se paise widrawl kar sakte hai ye janane ke liye top left side me 3 lines par click kare. Aur payment option select kare. Yahapar payment ke sabhi method show ho jayenga.

I hope, aapko android mobile se fast money banane ki ye jankari pasand aayi hogi. Agar ye jankari aapko helpful lage to apne friends ke sath bhi isse share kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Android Mobile Me Youtube Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye

  • nice post – मै आपके वेबसाइट पर daily विजिट करती हु आप बहुत ही अच्छा लिखते है ….प्लीज आगे भी ऐसे helpful article provide कराते रहिएगा !

    Reply
  • सर , आपके ब्लॉग पर प्रायोजित खोजे यानी Sponsored Searches का जो Ad लगा हुवा है वो क्या होता है और इसे अपने ब्लॉग पर कैसे लगाए

    Reply
    • ye google adsense ka ads type “search ads” jaise display ads banner ads etc hote hai

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.