Youtube par aapne videos dekhe honge, lekin kya aap janate hai ki online video dekhkar earning bhi kar sakte hai. Agar nahi janate to aaj iss post me mein aapko bataune jaa raha hu ki youtube video dekhkar paise kaise kamaye.
Online Video Dekhkar Earning Kaise Hogi
Youtube video dekhke aap ghar baithe online paise earn kar sakte hai. Iske liye aapko simple paid2youtube ki official website par jakar apna account create karna hoga. Iske baad aapko kuch videos milenge, jinko aapko ek ek karke dekhna hoga. Videos sirf 30 seconds ke honge aur view rate ke according aapki earning hogi. Iske alawa aap video ko like, comment, share aur subscribe karke bhi alag se earning kar sakte hai.
Payment Kaise Milegi
Paid2youtube account me 10$ pure ho jane ke baad aap payment withdrawl kar sakte hai. Payment transfer karne ke liye paypal account ka use kar sakte hai. Aur paypal se seedhe apne bank account me money transfer kar sakte hai. Agar aapka paypal account nahi hai to jane ki paypal account kaise banate hai.
Paid2Youtube Ki Help Se Youtube Video Dekhkar Paise Kaise Kamaye
Online videos dekhke income karne ke liye sabse pehle paid2youtube site me apna account create karna hoga. To chaliye step by step janate hai ki paid2youtube me register kaise kare aur youtube video dekhkar paise kaise kamaye.
Step 1
Sabse pehle Paid2Youtube link ko open kare, aur top rightside me Register par click kare.
Step 2
Ab agli window me ek registration form open hoga, isse niche diye steps ke according dhyan se bhare.
- Apna username enter kare.
- Password select kare.
- Password re-enter kare.
- Apne paypal account ka email address enter kare.
- Paypal emal id re-enter kare.
- Apna youtube username or youtube channel name enter kare.
- Dropdown menu par click karke, apni country (india) select kare.
- Agar kisi ki ya other id hai to referrer me use kar sakte hai, otherwise isse blank rehne dijiye.
- Accept terms of service ke tick box me tick kare. Chahe to terms of service padh lijiye.
- Box me captcha code bhare.
- Finally register button par click kar dijiye.
Step 3
Register button par click karte hi aapka paid2youtube par account taiyar hai. Ab login button par click kare aur apna username aur password dalkar apna account open kare.
Step 4
Login karne ke baad ab janate hai ki paid2youtube se earning kaise karte hai. Iske liye sabse pehle top left side me Surf videos par click kare.
Step 5
Ab agli window me aapse youtube account authentication ke liye pucha jayega. Isme Authentic link par click karke apne youtube account ko submit kare.
Step 6
Youtube account authentication ke baad next window me aapko aprox 30 seconds ke videos dekhne ke liye milenge. Inko one by one karke view kare. Aur video ke view rates ke according payd2youtube se earning kijiye. Agar aap video ko like, share aur comment karenge to iske alag se paise milte hai.
Lijiye ab aap jaan gaye hai ki paid2youtube se video dekhkar earning kaise karte hai. Ab paid2youtube account ki detail janate hai. Iske liye top rightside me apne profile name par click kare.
- Account me aapke paid2youtub ki account detail dekh sakte hai.
- Cashout me aapko payment transfer method show hoga, jiske through apne paypal account me paise transfer kar sakte hai.
- Cashout History me aap apni income ki report dekh sakte hai.
- Balance History me aapki total income show hogi.
- Profile detail check kar sakte hai, aur apne profile ko update bhi kar sakte hai.
- Buy Referrals se alag alag referral packages purchase kar sakte hai, aur credit le sakte hai.
- Rent referrals se rental credit receive kar sakte hai, aur video view, comment or subscription ke different rates ke according earning kar sakte hai.
Umeed hai aap samajh gaye honge ki paid2youtube help se se youtube video dekhkar paise kaise kamaye ja sakte hai. Agar aapko post se related koi saval ho to apne comment ke through puch sakte hai. Aur agar ye post helpful lagi ho to isse social media me share bhi jarur kare.
View Comments (7)
i need to do this job how can i do plz help me
you should read n follow above steps
6.Buy referals 7.rent referals ka pura jankari batao.
eh kya hai kya chiz
buy or rent refferals me aap refferals purchase or rent me lete ho aur usse share karte hai jisse jab bhi aapke refferal link par koi click karta hai aapki income hogi.
Bahut jabardast earnings se related article he thinks.
welcome
Kitna views me kitna milta hai