X
    Categories: YOU TUBE

Youtube New Update Self Rate Your Video – Youtube Latest Update

Youtube new update self rate your video ke bare me aaj ki iss post me hum janenge. Youtube ek top video sharing site hai aur iss platform par karodo ki sankhya me video dekhe jate hai.

Iske sath hi lakho user iss platform par video upload karke google adsense, sponsorsihp ya fir affiliate marketing ke through online earning bhi karte hai. Aise me youtube bhi apne aap me kuch na kuch update karta rehta hai.

Aisa isliye taki youtube audience ko appropriate contents provide kar sake. Issi baat ka dhyan me rakhte hue youtube ne jo latest update kiya hai usme creators ko video upload karte time ye ensure karna hoga ki unke content me inappropriate contents nahi hai.

Jo bhi video creators upload kar rahe hai usme kisi bhi tarah ki harmful, dangerous, adult, inappropriate language, violence content ya fir drugs related contents nahi hona chahiye. Tabhi creators ki video par monitization enable hogi otherwise nahi hogi.

Youtube New Update Self Rate Your Video – Youtube Latest Update

Youtube new update me aapko apni video ko self rating deni hogi isliye iss update ka name self rate your video diya gaya hai. Youtube ke is latest update ka use kaise karte hai chaliye janete hai.

Agar aap ek youtube creator hai to aapko video upload karne ke baad monitization section me ek error show hoti hogi.

Agar aap monitization par click karenge to yahapar aapko ek new feature show hoga, jiska name hai self rate your video to aapko iss option par click karna hai.

Ab ek popup window open hogi jisme kuch questions aur unke options honge inn sabhi options ko aapko select karna hai. Agar aapke video me kisi tarah ka wrong content nahi hai to manually sabhi options me None ko select kar sakte hai.

But agar aapne apne video me innappropriate language, adult content, violence, harmful or dangerous act, drug related content, hateful content, firearms related content or sensitive issues ka use kiya hai to aapka video monetize nahi hoga.

Agar inn wrong elements me aapne kisi ek ya do ka use kiya hai to aap questions ke niche options me uska reasons bhi select kar sakte hai.

Lekin agar aapke video iss tarah ki koi bhi wrong elements nahi hai aur aapka video content ekdum appropriate hai to aapko manually sabhi options me None ko select karne ki jarurat nahi hai.

Iske liye aapko top side me 2nd wale option “I certify that this video is appripriate…” par tick karna hai aur bottome side me Done ke button par click kar dena hai.

Bus yahapar aapko itna hi kaam karna hai jiske baad aap apne video ko title, description aur tags dekar publish kar sakte hai.

I hope ab aap samajh hi gaye honge ki youtube new update me self rate your video feature ka use kaise karte hai. Agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath social sites par share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More