X
    Categories: YOU TUBE

YouTube Ki History Delete Kaise Kare

YouTube ki history delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aap youtube user hai aur youtube par aksar videos dekhte hai alag alag videos search karte hai aur apni youtube search history aur youtube watch history remove karne ke bare me janana chahte hai to ye post aapke liye hi hai.

Jo bhi videos aap youtube par search karte hai unki alag se search history create hoti hai aur jitne bhi videos dekhte hai unki alag se watch history create hoti hai aise me agar aap ek baar me h apni youtube search aur watch history delete karna chahte hai aur nahi jante ki kaise karte hai to niche diye easy steps follow kare.

YouTube Ki History Delete Kaise Kare

1 Sabse pehle YouTube app open kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab kuch options aapke samne aayenge inme Settings option par click kare.

4 Iske baad youtube settings page me History and privacy option par click kare.

5 Ab next interface me kuch aur options aayenge inme;

  • Clear watch history option par click kare puri watch history delete karne ke liye.
  • Clear search history option par click kare complete search data ko remove karne ke liye.
  • Pause watch history option ko enable karke aap watch history ko create hone se rok sakte hai.
  • Pause search history option ko enable karke search history ko bhi create hone se block kar sakte hai.

Iss tarah se aap apni complete youtube history (search history aur watch history) delete kar sakte hai or youtube search history aur watch history ko create hone se bhi block kar sakte hai jiske baad jitni bhi videos youtube par aap dekhenge ya fir search karenge unki history hi create nahi hogi.

I hope ab aap samajh gaye honge ki youtube all history remove kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More