YOU TUBE

Youtube History Delete Kaise Kare – How to Remove Youtube All History

Youtube history delete kaise kare iss post me hum janenge, agar aap youtube par apni complete history ko remove karna chahte hai aur nahi janate ki youtube ki all history ko clear kaise karte hai to iss post ko end tak jarur padhe.

Youtube par aap jitni bhi videos dekhte hai jo kuch bhi search karte hai uski ek alag se history create hoti hai, yani ki youtube par watch history aur search history create ho jati hai jisse aap history option aur top side me search icon par click karke dekh sakte hai.

Aise me agar aap youtube ki complete watch history aur search history ko remove karna chahte hai aur nahi janate ki youtube ki watch history kaise delete karte hai ya search history clear kaise karte hai to iss post me bataye gaye easy steps ko follow kare.

Youtube History Delete Kaise Kare – How to Remove Youtube All History

Remove Watch History

1 Sabse pehle Youtube app open karke login kare.

2 Ab top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Iske baad kuch options aayenge to yahapar Settings option par click kare.

4 Ab next interface me History & privacy option par click kare.

5 Iske baad next interface me youtube watch history delete karne ke liye Clear watch history option par click kare.

6 Ab ek popup open hoga to isme Clear watch history option par click kar dijiye.

7 Iske baad Clear search history option par click kare.

8 Ab ek popup open hoga to isme finally Clear search history option par click kar dijiye.

Iss tarah se aapki youtube ki total history yani ki watch history aur search history clear ho jayegi, ab aap history option par click karenge to vahapar aapko blank show hoga aur top side me search icon par click karenge to koi bhi search item aapko show nahi hoga.

Iske sath hi agar aap chahte hai ki youtube par jitni bhi videos dekhe uski koi watch history create na ho aur jo kuch bhi search kare uski koi bhi search history na bane to yahapar aap Pause watch history aur Pause search history dono hi options ko enable kar dijiye.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki youtube ki all watch history aur search history ko clear kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.