WordPress blog me yoast seo plugin ki settings kaise karte hai aaj iss post me mein aapko batane wala hu. Blogger se wordpress par migrate karne ke baad kuch important plugins install karna bahut jaruri hai. Aur wordpress seo optimization ke liye yoast ek best seo plugin hai. Aur agar abhi tak aapne yoast plugin ko install nahi kiya hai to pehle isse install kar lijiye.
WordPress me bahut se seo plugins available hai lekin yoast ek best wordpress plugin hai. Agar aap yoast plugin ko use karenge to aapke blog ki search ranking aur bhi jyada increase ho jayegi. Ye post ek yoast seo guide hai aur isme mein aapko bataunga ki blog ki seo settings kaise karte hai step by step.
Yoast SEO Plugin Settings Kaise Kare WordPress Blog Me
Yoast seo plugin setup karna bahut hi aasaan hai, niche diye steps ki help se aap easily yoast seo settings kar sakte hai. Site ki better seo aur search ranking ko increase karne ke liye. Yoast seo plugin ki settings kaise karte hai chaliye step by step janate hai.
- Google Keyword Planner Tool Ka Use Kaise Kare
- Indiblogger Community Par Blog Submit Kaise Kare
- Blogger Post Me Search Description Add Kaise Kare
1. General Yoast SEO
Dashboard
Agar aap isse pehle koi other seo plugin ka use kar rahe hai to. Sabse pehle seo data transporter ki help se apna data yoast par transfer kar dijiye. Iske baad hi aap yoast seo plugin ka succefully use kar payenge. Dashboard me ye jaankari milti hai ki yoast seo successfully install ho gaya hai. Agar aapne first time wordpress par apna blog move kiya hai to yaha aapko kuch nahi karna hai.
General
General tab me aap configuration wizard option dekh sakte hai. Yaha se bhi aap seo settings step by step kar sakte ho. Agar aap pehli baar yoast seo setup kar rahe to isse ignore kar dijiye. Kyuki yaha par mein aapko step by step iski jaankari bata raha hu. Bottom side me aap restore default settings ka option dekh rahe honge. Isse aap yoast plugin ki all setting ko dubara se restore kar sakte ho. By the way mein aapko suggest karunga ki iss option ko chhod de.
Feature Settings
WordPress yoast seo me bahut sare features available hai. Aap chahe to apne according inn features ko enable aur disable kar sakte hai. Inme se kuch important features mein aapko bata raha hu inhe inable kar dijiye agar ye disable hai to.
- Advanced settings pages site title, meta desciption, other seo aur social sites notification ke liye iss option ko enable kar dijiye.
- OnPage.org site ka aisa page jo indexable hai but index nahi hua hai, iss option ko enable karne se aapko iski notifaction milegi.
- Admin bar menu ek third party tools hai jiski help se aap webpage analysis ki new notifications receive kar sakte hai.
Your Information
Google search result me aapki site ka name show hota hai. Lekin Aap apne according isme change kar sakte ho aur koi alternative website name de sakte ho. Yaha par aap apni site ya person se related jaankari de sakte ho.
- Yaha par apni website ka name enter kare.
- Website ke alawa koi othe name show karna chahte hai to yaha enter kare.
- Yaha par company or person select kare.
- Company or person select karne ke baad related name enter kare.
- Save changes par click kar dijiye.
Webmaster Tools
Yaha par bing webmastser tools, google search console aur yandex webmaster tools ko submit karna hai. Apne bing, google aur yandex webmaster code ko copy kare aur related field me enter kar dijiye.
- Yaha par bing webmaster tools ka verify code enter kare.
- Google search console ka verify code enter kare.
- Yandex webmaster tools ka verify code enter kare.
- Finally save changes par click kar dijiye.
Security
Ye option enable karne se aap wordpress seo meta box ke advance part ko disable kar sakte hai. Agar aapke sath other blogger or writers kaam karte hai. Aur aapko unn par bharosa nahi hai to isse enable kar sakte ho. Otherwise iski koi jarurat nahi hai.
- Google Seach Console Me Post Ko Jaldi Index Kaise Kare
- Blog Traffic Increase Kaise Kare Popular Tarike
- Feedburner Par Email Subscription Kaise Enable Kare
2. Title & Metas – Yeost SEO
Yoast seo ke under title & metas section me kai options hai, one by one karke sabhi option ke bare me janate hai.
General
Yaha par aap vo simbol choose kar sakte hai jisse titles ke beech me saparator ke liye use karna chahate hai. Agar aap sure nahi hai ki konsa symbol select karna hai to isse chhod dijiye.
Home Page
Yaha par apne apni site ka name aur site description add karna hai. By default ye option pehle se set hoga agar changes karna chahte hai to kar sakte hai.
- Title template – Search engine me apni site ka jo name show karna chahte hai usse enter kare.
- Meta description template – Search engine me aapki site name search karne par sath me kya description show ho vo keywords enter kare.
- Save changes par click kare.
Post Types
Yahapar aap apni sabhi post types ke liye seo ko configure kar sakte hai. Aur apne wordpress blog ki post, page aur media ke liye seo define kar sakte ho. Iske sath hi aap apna custome post type bhi define kar sakte ho. Post types tab me kya karna hai iske liye niche steps follow kare.
- Title template: me ye code value “%%title%% %%page%% %%sep%% %%sitename%%” aise hi rehne dijiye.
- Meta description template: ke box ko blank chhod dijiye.
- Meta Robots ko index set kare.
- Date in Snippet Preview ko hide set kare.
- Yoast SEO Meta Box me show select kare.
Note:- Upar image me post section me jo steps bataye gaye hai. Same aisi hi setting niche pages aur media section me bhi kare aur save changes par click kar dijiye.
Taxonomies
Taxonomies tab me aapko categories, tags aur format ko nofollow karna hai. Agar nofollow nahi kiya to ye crawlers me duplicate contents ko kai baar index karega. Jisse search engine ranking me site performance down ho sakta hai. Isliye aapko hamesha ye dhyan rakhna chahiye ki google me quality contents hi index ho. Yahapar kya karna hai iske liye niche steps dekhe.
- Categories me meta robots ko no index kare.
- Tags me meta robots ko no index kare.
- Format me meta robots ko no index kare.
- Save changes par click kare.
Archives
Archives ek tarah se duplicate contents ko rokne ke liye ek setting hai. Agar aap ek single author blog chala rahe hai, to aapke main blog aur archives contents same honge. Yahapar aap isse noindex karke duplicate contents ko prevent kar sakte ho.
- Author archives settigs me meta robots ko no index kare.
- Date archives settings me meta robots ko noindex kare.
- Save changes par click kare.
Other
Yaha par mein aapko suggest karunga ki sabhi options par noindex karke save changes kar dijiye.
- Gravatar Kya Hai Aur Gravatar Par Account Kaise Banaye
- WordPress Blog Par Favicon Icon Kaise Add Kare
- WordPress Par Ad Inserter Plugin Ka Use Kaise Kare
3. Social
Yoast plugin ki sabse badi speciality hai ki ye aapki site ko facebook, twitter, google+ or other social platform ke sath combined karke rakhta hai. Search engine optimization ke liye apni site par social networking sites ko bhi link jarur kare.
Accounts
Social media sites par bhi aapne accounts or pages banaye honge unke links yaha submit kare. Aur save changes button par click kare.
Agar aapne facebook page create kiya hai to yahapar page ki image url, title aur description enter kare aur save changes kar dijiye.
Agar aapka twitter par account hai to yahapar default card type to use me summary select kare aur save changes kar de.
Agar aapka pinterest par account hai to yaha par pinterest ka confirmation code enter kare. Aur agar aapki website pinterest se already connected hai to isse skip kar dijiye.
Google+
Agar aapka google+ page hai to yaha par page ka url add kare.
- WordPress Blog Ki Post Me Featured Image Kaise Add Kare
- Blog Post Ko Scheduled Kaise Kare
- Online Image Compressor Se Image Ka Size Reduce Kaise Kare
4. XML Sitemaps
Sitemap ek XML file hoti hai jisme aapki website ke sabhi files ke url shamil hote hai. Sitemap search crawler ko navigate karne aur site contents ko jyada aasaani se scane karne me help karta hai.
General
Sitemap configure karne ke liye XML sitemap ke link par click kare. Agar pehle se xml sitemap configured hai to isse chhod deijiye. Max entries per sitemap me 1000 enter kare.
User Sitemap
User sitemap settings ko disabled kar dijiye kyuki hum pehle hi author ke liye meta robots ko noindex kar chuke hai.
Post Types
Yahapar post aur pages ko in sitemap aur media ko not in sitemap set kare.
Excluded Posts
Excluded posts ki help se aap individual post, page or post types ko XML sitemap se remove kar sakte ho. Post ko remove karne ke liye post id ko box me enter kare aur save changes par click kar dijiye.
Taxonomies
User navigation ke liye tags important hote hai lekin search crawler ke liye nahi. Isliye yahapar categories aur format ko in sitemap set kare aur tags ko not in sitmap set kare. Aur save changes button par click kar dijiye.
- WordPress Par Blog Transfer Karne Ke Baad Kya Kare
- Google Adsense Par Ads Create Kaise Kare
- Copyright Free Images Ko Google Se Kaise Download Kare
5. Advanced
Iss section me 3 tabs hai breadcrumbs, permalinks aur RSS. Yahapar kya settings karni hai aaiye dekhe.
Breadcrumbs
Breadcrumbs internal linking ke liye better hai, jisse post category aur title crawl hota hai. But isse disable kar dijiye kyuki isse related keywords aapki post me available hote hai.
Permalinks
Yahapar aap ye set kar sakte hao ki aapki post aur pages ke permalinks search result me kis tarah se show hogi. Vaise yahapar aap seo friendly url ki settings nahi kar rahe hai. Ye setting to pehle hi kar chuke hai isliye niche image ke according setting kare.
RSS
RSS feeds content scrapers ki help se aapki website contents ki copy create karta hai. Aur RSS Feed me aapki site ki backlink create karta hai. Niche box me The post %%POSTLINK%% appeared first on %%BLOGLINK%%. enter kare. Aur save changes button par click kare.
- WordPress Blog Post Me Colorful Bottons Kaise Add Kare
- Adsense Custom Channel Kaise Create Kare
- Adsense Account Par Multiple Website Kaise Add Kare
6. Tools
Aap dekh hi chuke hai ki yeost seo settings karne me aapka kitna time laga hai. Aise me aap chahenge ki inn settings ka backup create ho. Isliye yahapar aap sabhi settings ka backup lekar export aur import kar sakte hai.
- Bulk Editor ki help se search engine me apni site ke liye alag title aur alag description ko add kar sakte hai.
- File Editor ki help se aap apni site ki .htaccess aur robots.txt files ko edit kar sakte hai.
- Import and Export ki help se yoast plugin aur dusre seo plugins ki aur unke backup import aur export kar sakte hai.
- Google Analytics Ko Adsense Se Connect Kaise Kare
- Google Analytics Me Account Banakar Blog Se Kaise Connect Kare
- Low CPC Sites Block Karke Adsense Revenue Kaise Badhaye
7. Search Console
Site error fix karne ke liye aapko har bar google search console me jana padta hai. Aur desktop aur mobile phone me generate error ko fix kare hai. Lekin ab aap yoast plugin se bhi seach console me aayi crawl error ko direct fix kar sakte hai. Iske liye yoast plugin ko google search console se connect karna hoga.
- Settings par click kare.
- Reauthenticate with google tab par click kare.
- Desktop, smartphone aur feature phones me aayi error ko direct yoast plugins se fix kare.
Dosto ye yoast seo guide new blogger aur unke liye hai jo yoast plugins ki complete settings ke bare me nahi janate. Issi tarah se aap apne wordpress blog par best wordpress seo plugin install karke complete settings kar sakte ho.
I hope yoast seo plugin ki settings karne ki ye jaankari aapki kafi help karegi. Agar aapko seo settings se related ye post helpful lagi ho to hinglish help ko subscribe jarur kare. Aur iske sath hi humare facebook page aur youtube channel ko bhi subscribe karna na bhule.
View Comments (18)
Great information. Yoast SEO is my one of the favourite plugin for SEO. I also like your blog :)
Thanks for sharing this article.
thanks
Hi sir नमस्कार मै आप से ये जानना चाहता हु की क्या seo के result different different browser पर result different दिखाई देता है , sir मैंने बहुत से वेबसाइट का seo किया और check भी किया मेरे जो कीवर्ड्स होते है , different – different ब्राउज़र पर उनका पोजीशन भिन्न भिन्न दिखाई देता है .ऐसा क्यों होता sir मै जानना चाहता हु sir जिसकी वजह से मै बहुत बडे समस्या में फस गया हु sir कृप्या आप मेरा सहायता कीजये sir . ...........
search engine algorithms ek well guarded secrets hai, isliye koi ye exatly nahi janata ki search me kon sa keyword kya result show karega. ha agar aapki site ka seo lable sahi hai aur aap high quality keywords use karte hai, to different browsers me aapki site top search me aa sakti hai, but konse number par aayegi ye sure nahi hai.
Can we use Yoast and All In One plugin together?
sure you can use both plugins together.
bhai kosis kiya karo post se related ak video ka link bhi add kar diya karo. isase kafi help milegi.
bahut jaldi post se related videos bhi post karunga. thanks
Sir kiya aap bata sakte hai jo yost seo me error hote hai article likhte samay wo kese hata sakte hai
iske liye post editor me bottom side me readability and keywords ke suggessions ko follow kijiye.
wordpress site ke liye main kaun si cache plugin use karu..
aap wp super cache plugin ka use kar sakte hai
Hello,
I also interested in this topic and have recently begun my journey as Blogger.
I saw your tweets and thought I would check your website.
You made some good points there. It’s pretty worth enough for me.
I have subscribed to your newsletter.
Keep posting some good stuffs like this.
Cheers!!
thanks n keep visiting..
sir mere website ka name http://sarkarijobfuture.com/ hai jo ki wordpress par hai easaka seo kaise kare.
Please sir contact me- sarkarijobfuture@gmail.com
http://sarkarijobfuture.com/
http://sarkarijobfuture.com/
http://sarkarijobfuture.com/
seo ke liye agar aap hinglish help ke seo tab me click karenge to aapko isse related sabhi jankari mil jayegi
Sir mere site Ka name sarkarijobfuture.com hai Jo ki wordpress par easame Google search console API error dikha Raha hai. Hum easko Jaise think kare
jetpack plugin install kare aur iski setting me site verification me google search console ko verify kijiye iska solution ho jayega