BLOGGERSEO

Blogger Post Me Search Description Add Kaise Kare

Hello friends, aaj ki post me hum janenge ki blogger post me search descriptin kaise add karte hai. Agar hum blog ki post me description add karte hai to search engine me vo show hone lagti hai aur isse post ki rank bhi increase hoti hai, aur agar nahi karte hai to post ke first 150 words  search me show hone lagte hai. Niche image me post url ke nich search description ke examples dekh sakte hai.

Blogger post

 

Blogger Post Search Description Kya Hota Hai

Humari blog post me jis bare me jankari di ja rahi hai, uski summry ko 150 words ke ander discribe karna search description kehlata hai, aur isme 150 se jyada sabd search me nahi dikhata hai, isliye apni post ke baare me 150 words ke ander hi description dale.

Google search engine me humari post show hoti hai aur uske sath hi description bhi dikhta hai, isliye visitors sabse pehle description ko hi padhta hai, aur agar description se hi usse pata chal jaye ki post me kya jankari di gayi hai to vo puri jankari ke liye post ko jarur open karega.

 

Blogger Post Me Search Description Add Kaise Kare

Search description kya hota hai ab hum jaan chuke hai, aur isse post me kaise add karte hai iske liye niche diye gaye steps follow kare.

 

 

??Blog Post Content Ko Chori Hone Kaise Bachaye

Step 1

Sabse pehle blogger me login kare aur dashboard me jaye.

Blogger ki har ek post me search description add karne ke liye sabse pehle blog ke meta tags description ko enable karna hoga.

blogger post

blogger post

  1. Settings me jaye.
  2. Search preferences par click kare.
  3. Meta tags option me edit par click kare.
  4. Yes tick box me tick kare.
  5. Apne blog ke baare me 2-3 lines me likhe.
  6. Save changes button par click kare.

 

 

 

??Blog Banane Ke Baad Kya Kare

Step 2

Ab jiss post me description add karna hai usse editor me open kare, aur post ke right side me search description option par click kare.

blogger post

  1. Box me apni post ke baare me 150 sabdo me likhe.
  2. Done button par click kare.

 

Ab aapki post me description add ho gaya hai, post publish karne ke baad aap isse search engine me check kar sakte hai.

 

??Blog Ke Liye Contact Us, Terms and Conditions Aur Privacy Policy Page Banane Ke Liye Yaha Click Kare

 

Agar Search Descrition Option Show Nahi Ho Raha Hai

Ho sakta hai ki aap koi esa template use kar rahe ho jisme ye search description option show nahi ho raha ho to parshan hone ki jarurat nahi hai, iske solution ke liye aapko apne template me ye code paste karna hai.

<b:if cond=‘data:blog.metaDescription != &quot;&quot;’>
<meta expr:content=‘data:blog.metaDescription’ name=‘description’/>
</b:if>

 

Iss code ko paste karne ke liye blogger dashboard me jaye.

blogger post

blogger post

  1. Template par click kare.
  2. Edit HTML button dabaye.
  3. Ctrl+F button dabakar <head> code search kare, aur <head> ke thik niche upar diya gaya code paste kare.
  4. Save template button par click kare.

Ab aapke blog post me search description option show hone lagega.

 

 

??Advance Excel Ki Jaankari Ke Liye Yaha Click Kare

I hope search description add karne se related ye post aapko pasand aayi hogi, koi problem ho to aap comment karke apne saval puch sakte hai, aur iss post ko apne social network par share karna bilkul na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.