WordPress par free website kaise banaye aaj iss post me mein aapko batane ja raha hu, agar aap blogging karte hai aur wordpress site par free me blog banana chahte hai to iss post me aapko wordpress me free website banane ki puri jankari mil jayegi.
WordPress ek aisa platform hai jahapar aap paid aur free dono hi tariko se apna blog create kar sakte hai, wordpress me hosting purchase karke aap acchi earning kar sakte hai sath hi aapko kafi tools bhi milte hai jiske through aap apni website ko ek professional look de sakte hai.
Lekin agar aap blogging me new hai to mein aapko suggest karuga ki aap filhal wordpress ke free version ko hi use kare aur jab aapko accha experience ho jayega tab aap wordpress me hosting purchase karke install kar sakte hai, wordpress par free site kaise banate hai chaliye iss post me janate hai.
WordPress Par Free Website Kaise Banaye – How to Create Free Blog on WordPress
Step 1
Sabse pehle WordPress.com ki site me jaye aur Start your website button par click kare.
Step 2
Ab next interface me apni Email Id, Username aur Password enter kare aur Create your account button par click kare.
Step 3
Iske baad next page me domain name enter karne ka option aayega to yahapar jiss name se aap website banana chahte hai usse enter kare.
Step 4
Domain name enter karte hi kuch paid aur free domain suggestions aapke samne aayenge to yahapar free domain ko select kare.
Step 5
Ab next page me aapke samne 4 plans aayenge, Personal, Premium, Business aur eCommerce ye sabhi paid plans hai lekin free blog create karne ke liye yahapar aapko yahapar Start with a free site ke link par click karna hai.
Step 6
Iske baad wordpress par aapki free blog create ho jayegi aur ab aapko yahapar Get Started ke button par click karna hai aur Neme your site button par click karke apni website ka name aur tagline enter karna hai aur finally Save settings ke button par click kar dena hai.
Lijiye iss tarah se wordpress par aapka free me blog create ho jayega aur ab aap top site me Write button par click karke blogpost likh sakte hai aur usse publish kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki wordpress par free website kaise banate hai, agar aapko wordpress me free website banane ki ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.