X
    Categories: INSTAGRAM

Instagram Pe Private Account Kaise Banaye – How to Switch your Public Instagram Account into Private

Instagram pe private account kaise banaye iss post me mein aapko bataunga, agar aapka instagram par account hai aur apne public account ko private account me convert karna chahte hai iss post me bataye tarike se easily change kar sakte hai.

Agar aap apne instagram account ko private account me switch kar dete hai to iske baad sirf aapke instagram followers hi aapki shared photos aur videos dekh sakte hai, halaki koi bhi aapko tag kar sakta hai, mention kar sakta hai aur message bhi send kar sakta hai.

So agar aap apne instagram account par privacy add karna chahte hai aur apne pulic instagram account ko private me switch karna chahte hai to iss post me niche bataye gaye steps ko follow kare.

Instagram Pe Private Account Kaise Banaye – How to Switch your Public Instagram Account into Private

1 Sabse pehle apna Instagram app open kare.

2 Ab bottom right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Iske baad aap apne profile page me pahuch jayenge to yahapar top right corner me 3 lines par click kare.

4 Ab kuch options aayenge to yahapar bottom side me Settings option par click kare.

5 Iske baad settings page me Privacy option par click kare.

6 Ab next interface me top me aapko Private account option ke samne toggle button par click karna hai.

7 Iske baad bottom side se ek popup open hoga to isme Switch to private option par click kare.

8 Ab ek popup open hoga jisme Review followers option par click karke aap apne current followers dekh sakte jo aapki share ki gayi post ko dekh sakte hai.

  • Aur agar aap apni followers list se kisi users se apni post hide karna chahte hai to uske samne Remove button par click karke aap usse follower list se remove kar sakte hai.
  • Otherwise iss popup me aap Cancel option par click kar sakte hai, jiske baad instagram par aapka public account private me change ho jayega.

I hope instagram pe private account kaise banaye ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More