1 January 2021 se Aapka Whatsapp Band Hoga ya Nahi Aise Kare Check
1 january 2021 se whatsapp kai operating systems par kaam karna band karne wala hai, so agar aapka phone bhi inn operating systems me shamil hai to aap whatsapp ka use nahi kar payenge, fir chahe aap iphone use karte ho ya android phone aap whatsapp ka use nahi kar payenge agar aapke mobile phone ka OS ios9 ya fir 4.0.3 se niche hoga.
Agar aap iphone use karte hai to aapke phone ka operating system ios9 ya isse upar hona chahiye, aur agar aap android phone user hai to 4.0.3 ya fir isse latest version ka aapke phone ka operating system hona chahiye.
Kaun Se Mobile Phone Models Me Whatsapp Band Hoga
Agar aap apple user hai to iphone 4, iphone 4s, iphone 5, iphone 5s, iphone 6 aur iphone 6s use karte hai to aap 1 january 2021 se apne iphone par whatsapp nahi chala payenge.
Aur agar aap android phone user hai aur Htc desire, Samsung gallexy s2, LG optimus black ya phir motorola droid razr aapke paas hai to aap bhi apne handset par whatsapp user nahi kar payenge.
Halanki kuch iphone aur android phones ke operating systems ko upgrade kiya ja sakta hai, jiske baad unpar whatsapp ka use kar sakte hai. Ab agar aapko pata karna hai ki aapka whatsapp band hoga ya nahi to niche diye gaye steps follow kare.
1 January 2021 se Aapka Whatsapp Band Hoga ya Nahi Aise Kare Check
1 Sabse pehle apne phone ki Settings open kare.
2 Ab settings page me About phone options me jaye.
3 Iske baad next interface me Software information par click kare.
4 Ab next interface me Android version ke option me aapko apne phone ka Operating systems show ho jayega.
Agar yahapar aapko 4.0.3 se niche ka version show hota hai to aap iss new year se apne phone me whatsapp ka use nahi kar payenge. Aur agar iske similar ya latest version aapko show hota hai to aapke phone me whatsapp work karta rahega.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki iss new se aapka whatsapp kaam karna band karega ya nahi, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe