X
    Categories: WHATSAPP

WhatsApp Status Me Audio Kaise Lagaye

Whatsapp status me audio kaie lagaye iss post me hum janenge so agar aap whatsapp user hai aur whatsapp status par apni voice record karke upload karna chahte hai to ab aap easily apne whatsapp status me apni audio record karke share kar sakte hai ye new whatsapp update roll out kar diya gaya hai.

Halanki iss whatsapp new update me filhal kuch lucky beta users ko hi ye latest update mila hai jiske through vo apne status me audio recordng karke upload kar sakte hai lekin kuch hi dino me sabhi users ke liye whatsapp iss new update ko roll out kar dega, to chaliye janate hai whatsapp status me audio kaise add karte hai.

WhatsApp Status Me Audio Kaise Lagaye

1 Sabse pehle aapko Google playstore open karke apna Whatsapp update kare.

2 Iske baad whatsapp open karke Status tab par click kare.

3 Ab bottom bottom right corner me Pencil icon par click kare.

4 Iske baad whatsapp new update aapke samne aa jayega yahapar New mic icon aapko show hoga jiske through aap voice recording kar sakte hai aur whatsapp status me upload kar sakte hai. Voice record karne ke liye aapko Mic icon ko tab tak dabaye rakhna hai jabtak pura audio record na ho jaye.

5 Ab audio record karne ke baad aap isse sunkar check kar sakte hai, kuch galat hua to delete bhi kar sakte hai, finally whatsapp status me add karne ke liye Send option par click kar dijiye.

Iss tarah se aap apne whatapp status me voice record karke upload kar sakte hai jiske baad koi bhi aapka friend aapka whatsapp status open karke aapke voice message ko sun sakta hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki whatsapp status me audio share kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More