WHATSAPP

WhatsApp Deleted Message Kaise Dekhe – Without App

Whatsapp deleted message kaise dekhe iss post me hum janenge so agar aap whatsapp user hai aur apne whatsapp me aksar deleted messages aapko receive hote hai aur unhe aap dekhna chahte hai aur nahi janate ki whatsapp ke delete message kaise dekhte hai to niche diye steps ko follow karke aap easily whatsapp ke delete huye message dekh sakte hai.

Apne whatsapp account me deleted messages ko dekhne ke liye aapko koi third party app install karne ki jarurat nahi hai, bina koi app install kiye aap easily whatsapp ke removed message dekh sakte hai, iske liye aapko kya karna hai kaise aap whatsapp deleted messages dekh sakte hai chaliye step by step janate hai.

WhatsApp Deleted Message Kaise Dekhe – Without App

1 Sabse pehle apne Phone ki settings open kare.

2 Iske baad Notification & status bar option par click kare.

3 Ab next interface me More settings option par click kare.

4 Iske baad next page me Notification history option par click kare.

5 Ab jo next interface open hoga isme Notification history option ko enable kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab iske baad jab bhi aapka freind aapko whatsapp par koi message bhejkar usse delete kar dega to aap easily uss deleted message ko dekh sakte hai.

Whatsapp ke deleted messages dekhne ke liye aapko apne phone ki settings me notification & status bar option par click karna hai aur fir more settings option par click karke notification history option par jaise hi aap click karenge aapke yahapar sabhi whatsapp ke delete messages show ho jayenge,

I hope, ab aap samajh gaye honge ki whatsapp par delete hua messages kaise dekhte hai vo bhi without app, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.