WHATSAPP

WhatsApp New Update – Undo Delete for Me

WhatsApp new update – undo delete for me update roll-out kar diya gaya hai jiske through users kisi bhi message ko delete karte time delete for me option ko undo kar sakte hai.

Galati se message agar delete for everyone ki jagah par delete for me ho jata hai to ab user iss action ko easily undo karke deleted message ko wapas recover kar sakte hai.

WhatsApp par kisi bhi chat or group me aap apne send messages ko delete for everyone karke sabhi ke paas se message delete kar sakte hai.

Lekin agar galati se aapse delete for me option par click ho jata hai to apne iss action ko undo karke delete huye message ko ab wapas recover Kiya ja sakta hai.

Kaise aap apne send message par delete for me action ko cancel kar sakte hai iski puri jankari ke liye ye post end tak dhyan se padhe.

WhatsApp New Update – Undo Delete for Me

1 Sabse pehle Google playstore se WhatsApp update kare

2 Iske baad apne Send message par Long press kare.

3 Iske baad top side me Delete icon par click kare.

4 Ab jo popup open hoga usme Delete for me option par click kare.

5 Delete karte hi bottom side me Undo option aayega uspar click kare.

Undo option par click karke hi aapka send message recover ho jayega ab aap fir se uss message par long press karke delete for everyone kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki whatsapp ka ye new update kya hai aur delete for me option par click karne se kya hoga

WhatsApp ka ye new update filhal beta users ke liye roll out kiya gaya hai lekin bahut hi jaldi sabhi users ko ye latest WhatsApp update mil jayega.

Agar aapko new whatsapp update undo delete for me ki ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.