WHATSAPP

Whatsapp Messenger Auto Reply Kaise Enable Kare – Whatsapp Trick

Whatsapp messenger auto reply kaise enable karte hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu, to agar aap bhi apne whatsapp par kisi ki chat par automatically reply send karna chahte hai to iss post me bataye gaye trick ko follow kare.

Kai baar aisa hota hai hum kisi kaam me itna busy rehte hai ki apne phone ki taraf dhyan nahi dete hai aur aise me agar aapka koi whatsapp friend aapko messege bhejta hai to aap uska reply nahi kar pate hai.

DOWNLOAD AUTO REPLY APP

 

Aise me kitna accha hoga ki koi bhi friend hume whatsapp messege send kare aur usse apne aap koi answer send ho jaye. To chaliye shuru karte hai aur jante hai ki whatsapp messenger auto reply start kaise karte hai.

Whatsapp Messenger Auto Reply Kaise Enable Kare – Whatsapp Trick

Whatsapp account par auto reply start karna bahut hi simple aur easy hai bus iske liye aapko niche diye easy steps ko follow karna hai.

#1. Sabse pehle Playstore open kare aur Auto-Reply for Whats app ko install kare.

#2. App install karne ke baad isse open kare aur Notification Permissions ko allow kar dijiye.

#3. Iske baad jo next interface open hoga isme aap Plus (+) ke icon par click karke apne contacts add karne hai jinke liye aap auro reply set karna chahte hai. Yahapar aap ek ya ek se jyada contact add kar sakte hai.

#4. Ab top side me Auto reply for all messeges ke samne toggle button ko enable kare.

#5. Iske baad bottome side me Plus (+) icon par click karke aap kuch keywords add karke unke reply bhi add kar sakte hai. Aur agar aapko sabhi messege ka koi ek common reply set karna hai to Pencil icon par click kar auto reply set kar sakte hai.

I hope whatsapp messenger auto reply kaise enable karte hai ab aap samajh hi gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share kare, aur agar aapka koi sawal ya sujhav hai to hume comment box me puch sakte hai.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.