Whatsapp Ka Fingerprint Lock Kaise Tode – Unlock Whatsapp When Fingerprint is not Working
How to unlock whatsapp when fingerprint is not working yani ki whatsapp ka fingerprint lock kaise tode iss post me mein aapko bataunga, so agar aapne apne whatsapp me fingerprint lock enable kiya hai aur ab aapka fingerprint kaam nahi kar raha hai to iss post ko end tak jarur padhe.
Whatsapp ka fingerprint lock feature bahut hi kamal ka hai feature hai, iske through aap apne whatsapp ki security ko aur bhi jyada strong bana sakte hai, lekin kai baar users ka fingerprint sahi se kaam nahi karta hai aur vo apna whatsapp open nahi kar pate hai.
Aise me baar baar fingerprint sensor par touch karne par “fingerprint not recognised, try again” error ki error aati hai aur whatsapp open nahi hota hai, aisa aapke sath bhi ho sakta hai isliye iss problem ko kaise solve karte hai agar aap nahi janate hai to niche diye steps follow kare.
Whatsapp Ka Fingerprint Lock Kaise Tode – Unlock Whatsapp When Fingerprint is not Working
1 Sabse pehle phone Settings page ko open kare.
2 Ab setting me Biometrics and security option par click kare.
3 Iske baad next interface me Fingerprint scanner option par click kare.
4 Ab next page me aapka fingerprint aa jayega to yahapar Manage fingerprints option ke samne Edit option par click kare.
5 Iske baad next interface me apne Fingerprint ko select kare aur top right corner me Remove option par click kare.
6 Ab ek popup open hoga to isme Remove option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya hai ab aapka fingerprint delete ho gaya hai, iske baad aap apne whatsapp ko open karenge to without fingerprint ke direct aapka whatsapp open ho jayega.
So iss tarah se aap apne whatsapp account me fingerprint lock ko disable kar sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.
बहुत बढ़िया जानकारी है रमेश सर