WHATSAPP

WhatsApp Hack Ho Gaya ya Nahi Kaise Pata Kare

Whatsapp hack ho gaya ya nahi kaise pata kare iss post me mein aapko bataunga so agar aap whatsapp user hai aur aapko aisa doubt hai ki aapka whatapp hacked hai to apne iss doubt ko door karne ke liye aapko kya karna hai iss post me hum janenge.

Iske alawa agar aapka phone hacked hua to iss condition me hacker ka access kaise remove karna hai iski jankari bhi aapko iss post me mil jayegi, to chaliye shuru karte hai aur janate hai ki whatsapp hack hai ya nahi kaise check kare aur agar hacked hai to unhack kaise kare aaiye step by step janate hai.

WhatsApp Hack Ho Gaya ya Nahi Kaise Pata Kare

1 Sabse pehle apna Whatsapp open kare.

2 Iske baad top right corner me 3 vertical dots par click kare.

3 Ab kuch option open honge inme Linked devices option par click kare.

  • Iske baad next interface me agar Link a device option ke niche koi unknown device aapko show hota hai to iska matlab hai ki aapka whatsapp account hacked hai, aur koi or bhi hai jo aapke alawa aapke whatsapp account ko use kar raha hai aapki sabhi whatsapp chats dekh raha hai.

4 Iss condition me hacker ka access remove karna ke liye Unknow device par click kare.

5 Iske baad ek popup open hoga isme Log out option par click kar dijiye.

Log out option par click karte hi unknow device remove ho jayega aur hacker ka access bhi aapke whatsapp account se remove ho jayega, iss tarah se easily aap check kar sakte hai ki aapka whatsapp account hack hai ya nahi aur agar hacked hua to hacker ka access kaise remove karna hai ye bhi aap samajh gaye honge.

I hope, aapko whatsapp ki ye jankari helpfull lagi hogi agar ye post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

 

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.