Whatsapp chats backup hack hone se kaise bachaye iss post me hum janenge so agar aap apne google drive account par apne whatsapp account ka chat backup upload karte hai aur usse puri tarah se end to end encrypted banana chahte hai aur nahi janate ki whasapp chats backup ko protect kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.
Aapka koi janane wala easily aapka phone lekar aur fir whatsapp open karke easily aapki chats backup ko hack kar sakta hai, whatsapp ki chats settings me backup option par click karke agar vo person apni gmail id add kar deta hai to aapke whatsapp ka chats backup uske google account me upload hona start ho jayega.
Fir vo person easily apne google drive account me aapki whatsapp chats backup ko access kar sakta hai aur aap whatsapp par kis kis se kya kya batein karte hai vo person easily dekh sakta hai isse bachne ke liye aapko kya karna hai, kaise aap apni whatsapp chat ko puri tarah se end to end encypted bana sakte hai chaliye step by step janate hai.
Whatsapp Chats Backup Hack Hone Se Kaise Bachaye
1 Sabse pehle Whatsapp open kare.
2 Iske baad top right corner me 3 vertical dots par click kare.
3 Ab jo options aayenge inme Settings option par click kare.
4 Iske baad settings page me Chats option par click kare.
5 Ab chats settings me Chat backup option par click kare.
6 Iske baad next interface me backup option ke niche End to end encrypted backup option par click kare.
7 Ab next interface me Turn on option par click kare.
8 Iske baad next interface me Create password option par click kare.
9 Ab next page me Password enter karke Next option par click kare.
10 Iske baad same Password verify karke Next option par click kare.
11 Ab jo next interface open hoga isme Create option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya iske baad aapke whatsapp backup par password add ho jayega aur aapka whatsapp chats backup puri tarah se end to end encrypted ho jayega koi bhi aapke backup ko access nahi kar payega.
I hope ab aap samajh gaye honge ki whatsapp chats backup hacking se kaise bacha sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.